Tuesday 19 November 2013

Bas itna hi yaad rakh mujhay

Bas itna hi yaad rakh mujhay
Jeisay kisi kitaab mein
Beetay dino kay dost ka
Ik khat parra huwa milay
Lafz mitay mitay say hon
Rang urra urra sahi
Lekin wo ajnabi na ho
Uth kar teray glay lagay
Bholay huway tamaam dukh
Guzray huway tamaam such
Beetay huway dino ka sab
Tujh say kahay aur ro paray
Bas itna hi yaad rakh mujhy
Beetay dino k dost ka
Jesay koi khat hoon main
Rakha huwa kitaab main...


No comments: