Showing posts with label Awaargi Poetry. Show all posts
Showing posts with label Awaargi Poetry. Show all posts

Sunday, 9 October 2016

Phirtay hain saath saath

Phirtay hain saath saath tamaam raat magar
Log usko chaand or mujhay awaara kahtay hain..


Wednesday, 4 June 2014

Awaara hay tareek fizzaoun main

Awaara hay tareek fizzaoun main azal say
Ye chaand bhi hum ishq kay maron ki trah hay



Sunday, 27 April 2014

Ek justuju main raat din bhatkay darbadar

Ek justuju main raat din bhatkay darbadar
Hum ko tumhary piyaar nay awaara kar diya


Friday, 25 April 2014

Ye raastay kay sathi hain inhain akhir bicharrna hay

Ye raastay kay sathi hain inhain akhir bicharrna hay
Chalo ab ghar chalain saghir bhohat awaargi kar li



Wednesday, 23 April 2014

Main hoon agar awaara to waja hay hussan tera

Main hoon agar awaara to waja hay hussan tera
Main aisa hargiz na tha teray deedaar say pehlay


Tuesday, 25 March 2014

Ye dard ki tanhayiaan, ye dasht ka veeran safar

Ye dard ki tanhayiaan, ye dasht ka veeran safar
Hum log to ukhta gaye, apni sunna awaargi



Wednesday, 19 March 2014

Sar-e-Bazaar niklon to, Awaargi ki tuhmatt

Sar-e-Bazaar niklon to, Awaargi ki tuhmatt
Tanhai main baithon to, Elzaam-e-Mohabbat


Ye rim jhim, ye barish, ye awaargi ka mosam

Ye rim jhim, ye barish, ye awaargi ka mosam
Hamaray bas main hota to teray paas chalay atay