Showing posts with label Bhool Poetry. Show all posts
Showing posts with label Bhool Poetry. Show all posts

Wednesday, 8 March 2017

Bhool jana or bhula dena

Bhool jana or bhula dena faqqat ek waham hay
Dilon say kab nikaltay hain wo log mohabbat jinsay ho jaye


Wednesday, 8 February 2017

Milega na tumhay koi

Milega na tumhay koi is zameen par
Ye saray nishanay laga do hami par
Hamay bhol jana bhale tum kbhi bhi
Par shak na karna hamaray yaqeen par
Kisi ki nazar na lag jaye tum ko
Ye dunia ki nazrain lagi hain tumhi par
Mohabat main haan hi zaroori nahi hay
Main ashiq bana hon tumhri nahi par


Monday, 3 October 2016

Wednesday, 8 October 2014

Barsoon baad mila

Barsoon baad mila our mera naam tak bhool gaya 
Bicharty wakt jis nay kaha tha tum bhohat yaad ao gay


Sunday, 28 September 2014

Tum say kab hum nay mulaqat ka waada chaha

Tum say kab hum nay mulaqat ka waada chaha
Door rah kar tujhay kuch aur bhi ziada chaha
Yaad ayi hay teri aur bhi shiddat say humain
Bhool jaanay ka tujhay jab bhi iraada chaha


Friday, 1 August 2014

Wednesday, 16 July 2014

Kabhi sath denay k waday

Kabhi sath denay k waday, kabhi bhool janay ki qasmain
Mujhay aj tak pata na chala K tu majboor hay ya maghror


Saturday, 12 July 2014

Jahan bhuli hoi yaadain damman tham lain dill ka

Jahan bhuli hoi yaadain damman tham lain dill ka
Wahan say ajnabi ban kay guzar jana hi acha hay



Tuesday, 8 July 2014

Meri zeesst ka hay ye qissa purana

Meri zeesst ka hay ye qissa purana
Tumhain yaad karna, nahi bhool pana
Meray paas a kay tera muskurana
Nazar say guzar kar, jigar main samanna
Ye ghazlain, kitabain, ye yaron ki mehfil
Tujhay bhool panay ka hain ik bahana
Na sun na kabhi bhi mere dil ke nalay
Akelay main meri ghazal gungunana
Muhabbat ki khatir, zamanay say larna
Zamanay ki khatir, muhabbat bhulana


Wednesday, 18 June 2014

Bhoolain gay humay to kuch na hum kahain gay

Bhoolain gay humay to kuch na hum kahain gay
Hoga dill main dard to chup chaap hum sahain gay
Agar bhool kay humain khush hay wo
To bhool jaye humain yeh dua hum krain gay


Na janay kiun adhoori si rah gayi

Na janay kiun adhoori si rah gayi hay zindagi meri
Lagta hay jaisay khud ko kisi kay paas bhool aya hon


Thursday, 5 June 2014

Shararat lay kar ankhon main

Shararat lay kar ankhon main wo us ka deikhna toba
Main nazron pay jami nazrain, jhukana bhool jata hon


Dill bhool nahi sakta tumhay

Dill bhool nahi sakta tumhay
Dharkanon ki zarorat ho tum
Tum say hay meri dunia haseen
Meri pehli mohabbat ho tum 


Sunday, 1 June 2014

Us ki ankhon main koi dukh basa hay shaid

Us ki ankhon main koi dukh basa hay shaid
Ya mujay hi waham huwa hay shaid
Main nay pocha mujhay bhool gaye ho kia
Pounch kay anso mujhay us nay kaha shaid



Friday, 23 May 2014

Mera kia haal hay teray bina

Mera kia haal hay teray bina kabhi deikh to lay
Jee raha hoon tera bhoola huwa wada ban kar


Tuesday, 13 May 2014

Us k hath ki kash me wo lakeer ban jaon

Us kay hath ki kash main wo lakeer ban jaon
Kash main uska muqqadar uski taqdeer ban jaon
Main usay itna chahon k wo bhool jaye har rishta
Sirf main hi us k har rishtay ki tasveer ban jaon
Wo aankhain band karay to aaon main hi nazar
Es tarha main us kay har khuawab ki tabeer ban jaon


Monday, 12 May 2014

Ek haseen larki ki chahat nay

Ek haseen larki ki chahat nay
Mujhay apna aap bhula diya
Kiya jab ezhaar-e-ishaq unhon nay
May nay hosh apna ganwwa diya
Ye soch kar he maghroor ho jata hon ahsan
Kay main nay tujhay apna bana liya


Wednesday, 23 April 2014

Apnay dukh ko apnay andar rakh kar bhool jati hain

Apnay dukh ko apnay andar rakh kar bhool jati hain
Bahir say chamaktti hain chorriaan bhi larkian bhi



Monday, 21 April 2014

Ye tumhara waham hay

Ye tumhara waham hay k tumhay bhool jain gay dost
Wo teray shahar ka pani hay jis main hussan hay wafa nahi


Tuesday, 25 March 2014

Kuch es Adda say sunana hal-e-dill hamara usay

Kuch es Adda say sunana hal-e-dill hamara usay
Wo khud hi kah day kisi ko bhool jana buri baat hay