Showing posts with label Rona Poetry. Show all posts
Showing posts with label Rona Poetry. Show all posts

Monday, 13 March 2017

Kitnay anjaan hain

Kitnay anjaan hain kia saadgi say pochtay hain
Kahiye kia meri kisi baat par rona aya hay



Friday, 20 January 2017

Ro ro kar uss nay kaha

Ro ro kar uss nay kaha mujhse tum say nafrat hay
Agar nafrat hi thi to wo rooyi kiun thi....


Friday, 22 August 2014

Saturday, 9 August 2014

Aj wo bhi ro para meri bay basi deikh kar umar

Aj wo bhi ro para meri bay basi deikh kar umar
Kassam jis nay khai thi mujhay barbaad karnay ki


Sunday, 3 August 2014

Lagti hay jin kay dill par

Lagti hay jin kay dill par, wo ankhon say nahi rotay
Jo apnon kay hi na ho paaye, wo kisi kay nahi hotay



Saturday, 28 June 2014

Toota hay dill to dukh hota hay

Toota hay dill to dukh hota hay
Kar kay mohabbat kisi say ye dil rota hay
Dard ka ahsaas to tab hota hay
Jab jis say mohabbat ho us ke dil main koi or hota hay


Monday, 23 June 2014

Sochtay hain us ko

Sochtay hain us ko to doobtay hi chalay jatay hain 
Ankhain hi nahi us ki yaadain bhi sammandar hain


Sunday, 15 June 2014

Friday, 23 May 2014

Intizar bhi kisi ka kitna zaalim hota ha tanha

Intizar bhi kisi ka kitna zaalim hota ha tanha
Jagaaye to sari raat, rulaaye to saari umer


Tuesday, 20 May 2014

Tujhay kia khabar kay teri yaadon nay

Tujhay kia khabar kay teri yaadon nay mujhay kis trah sataya
Kbhi akelay main hansa diya to kbhi mahfilon main rula diya



Wednesday, 7 May 2014

Kitnay anjaan hain kia saadgi say pochtay hain

Kitnay anjaan hain kia saadgi say pochtay hain
Kahiye kia meri kisi baat par rona aya hay


Kbhi taqdeer ka mattam

Kbhi taqdeer ka mattam kbhi mahboob say shikwa
Aye Manzil-e-Mohabbat teray har morr pay rona aya


Hum to hanstay hain

Hum to hanstay hain dosron ko hansnay ki khatir Mohsin
Warna dill pay zakham itnay hain kay roya bhi nahi jata


Friday, 25 April 2014

Kal raat barasti rahi sawwan ki ghatta bhi

Kal raat barasti rahi sawwan ki ghatta bhi
Our hum bhi teri yaad main dil khol kay roye 



Monday, 21 April 2014

Sunday, 20 April 2014

Zabt lazzim hay magar dukh hay to qayamat ka faraz

Zabt lazzim hay magar dukh hay to qayamat ka faraz
Zalim ab kay bhi na roye ga to mar jaye ga



Tuesday, 25 March 2014

Rao gay bhohat hum say bicharr kay maan lo

Rao gay bhohat hum say bicharr kay maan lo
Ye chahat kay sajday hain qazza soch kay karna


Wednesday, 12 March 2014

Ronay ki saza na rulanay ki saza hay

Ronay ki saza na rulanay ki saza hay
Ye dard mohabbat ko nibhanay ki saza hay
Hastay hain to aankhon say nikal aatay hain ansu
Ye us shaks say dill laganay ki saza hay



Har wakt ka hansna tujhay barbaad na kar day

Har wakt ka hansna tujhay barbaad na kar day 
Tanhai kay lamhon main kbhi ro bhi liya kro