Showing posts with label Anna Poetry. Show all posts
Showing posts with label Anna Poetry. Show all posts

Tuesday, 21 February 2017

Nahi tha apna mizaaj aisa

Nahi tha apna mizaaj aisa
Kay zarf kho kar anna bachatay
Wagarna aisay jawaab detay
Kay phir na paida sawaal hotay


Monday, 3 October 2016

Ishq ka apna gharoor

Ishq ka apna gharoor hussan ki apni Anna
Un say aya na gaya hum say bhulaya na gaya....


Friday, 5 June 2015

Maghroor humay kahti hay

Maghroor humay kahti hay to kahti rehay Dunia
Hum murr kay kisi shakhs ko deikha nahi kartay



Sunday, 6 July 2014

Me tujh ko jaagti ankhon say

Me tujh ko jaagti ankhon say cho sakon na kabhi
Meri anna ka bharam rakh lay meray khuab may aa


Wednesday, 28 May 2014

Maghroor humay kahti hay

Maghroor humay kahti hay to kahti rehay dunia
Hum morr kar kisi shakhs ko deikha nahi kartay


Wednesday, 7 May 2014

Hum wo anna parast hain

Hum wo anna parast hain, jo har kar bhi ye kahtay hain
Wo manzil hi badnaseeb thi, jo humay paa na saki



Sunday, 6 April 2014

Aj bhi us ka intizaar

Aj bhi us ka intizaar kartay kartay din guzar gaye
Anna parast log hain, marzi say yaad kartay hain


Tuesday, 25 March 2014

Wo anna parast sahi uski baton main ikrar bhi tha

Wo anna parast sahi uski baton main iqraar bhi tha
Uskay chubhtay huway lahjay main chupa piyar bhi tha
Wo mujhay likhta hay k muntazir na rahon lekin
Us ki tehreer main sadiyon ka intizar bhi tha
Wo kehta hay mat rutho kay mananna nahi ata
Meri narazgi pay lekin wo bay qaraar bhi tha


Sunday, 16 March 2014

Friday, 24 January 2014

Anaa parast to hum bhi ghazab kay hain lakin

Anaa parast to hum bhi ghazab kay hain lakin
Teray Gharoor ka bas Ehteraam kartay hain


Sunday, 12 January 2014

Anna k mour pay bichrray

Anna k mour pay bichrray, to humsafar na milay
Hum aik shahar may rah kar bhi, Umer bhar na milay


Tuesday, 24 December 2013

Anjaam ki Parwa hoti to main Ishq karna chorh deta

Anjaam ki Parwa hoti to main Ishq karna chorh deta
Ishq main Zidd hoti hay or zidd ka main wesay bhi Badshah hon


Sunday, 22 December 2013

Woh to khud ho hi gai tumsay Muhabbat warna

Woh to khud ho hi gai tumsay Muhabbat warna
Hum woh khudgarz hain,jo apni bhi tammana na karain




Monday, 9 December 2013

Wo es ana main rahtay hain kay hum un ko un say mangain

Wo es ana main rahtay hain kay hum un ko un say mangain 
Hum es gharor main rahtay hain kay hum apni hi chezain manga nahi kartay


Sunday, 8 December 2013

Teri hai Zidd to meri bhi anaa ka Sawaal hay

Teri hai Zidd to meri bhi anaa ka Sawaal hay
Tujhay apna khayal Hay mujhay apna Khayal Hay


Sunday, 22 September 2013

Anaa ki mouj masti main abhi bhi baadsha hain hum

Anaa ki mouj masti main abhi bhi baadsha hain hum
Jo hum ko tor deta hay, hum us ko chor detay hain...