Showing posts with label Khayal Poetry. Show all posts
Showing posts with label Khayal Poetry. Show all posts

Sunday, 5 March 2017

Suno aik khoobsurat khayal

Suno aik khoobsurat khayal ho tum
Jo dil say... jata hi nahi..


Thursday, 2 February 2017

Barbaad karnay kay

Barbaad karnay kay or bhi raastay thay
Na janay unhay mohabbat ka hi khayal kiun aya


Friday, 23 January 2015

Tuesday, 2 September 2014

Laazim to nahi hay

Laazim to nahi hay tumhay ankhon say he deikhon
Kiya tera tassawar teray deedar say kam hay


Friday, 22 August 2014

Tuesday, 8 July 2014

Humay bhi piyar karnay ka khayal aya

Humay bhi piyar karnay ka khayal aya
Jab bhi khayal aya khud ko tanha paya
Dhondtay rehay hum es dunia main dost
Kisi ko ajnabi to kisi ko baywaffa paya


Friday, 20 June 2014

Mujh ko tera hi khayal ata hay

Mujh ko tera hi khayal ata hay
Baat chalti hay jab mohabbat ki


Sunday, 15 June 2014

Ek chand tanha khara raha

Ek chand tanha khara raha
Meray asmaan say zara paray
Meray sath sath safar main tha
Meri manzilon say zara paray
Teri jusstuju kay hisaar say
Teray khawab teray khayal say
Mein Wo shaks tha jo khara raha
Teri chahaton say zara paray



Wednesday, 4 June 2014

Humain yaqeen ki hadd tak gumaan hay

Humain yaqeen ki hadd tak gumaan hay
Wo shakhs aj bhi apnay siwa kisi ka nahi



Tuesday, 22 April 2014

Aye parda nasheen tum ko ye parda mubarak ho

Aye parda nasheen tum ko ye parda mubarak ho
Hum apnay tassawar main tasweer bana lain gain


Friday, 4 April 2014

Tuesday, 25 March 2014

Kbhi kbhi kay tassawar say jee nahi bharta

Kbhi kbhi kay tassawar say jee nahi bharta
Meray khayaalon main aao to baar baar aao


Saturday, 22 March 2014

Maloom nahi meray dill ko

Maloom nahi meray dill ko tum say kitni mohabbat hay
Na hi tm bin jenay ka tassawar karta hay or na hi marnay ka sochta ha


Wednesday, 12 March 2014

Sochti hon kay main kuch aur bhi sochon lekin

Sochti hon kay main kuch aur bhi sochon lekin
Toot jatay hain khayalaat teri zaat kay baad



Monday, 10 March 2014

Tuesday, 25 February 2014

Aayinay main wo deikh rehe thay Bahar-e-Hussan

Aayinay main wo deikh rehe thay Bahar-e-Hussan
Aya mera khayaal to sharmaa kay rah gaye 



Tuesday, 11 February 2014

Main us kay Khayal say jaoon to kahan jaoun

Main us kay Khayal say jaoon to kahan jaoun
Wo meri soch kay har rastay pay nazar aata hay



Friday, 7 February 2014

Ishq main Khuab ka khayal kisay

Ishq main Khuab ka khayal kisay
Na lagi ankh, jab say ankh lagi



Monday, 3 February 2014

Apni taqdeer main kuch aisay hi silsilay likhay hain

Apni taqdeer main kuch aisay hi silsilay likhay hain
So jaoun to khuaab un kay, jaagon to khayal un kaa


Thursday, 2 January 2014

Na karo takraar, mujhay tumhara hi khayaal hay

Na karo takraar, mujhay tumhara hi khayaal hay
Phir baat say baat niklay gi, aur tum rooth jao gay