Showing posts with label Omeed Poetry. Show all posts
Showing posts with label Omeed Poetry. Show all posts

Friday, 23 January 2015

Tassawar main chalay aao

Tassawar main chalay aao, zara deedar kar lain
Tamanna tum say milnay ki to pori ho nahi sakti



Friday, 15 August 2014

Baithay hain rahguzar pay

Baithay hain rahguzar pay dill ka diya jalaye 
Shaid wo dard samjhay shaid wo loat aye 


Tuesday, 8 July 2014

Apnay ghamon ki numaish na kar

Apnay ghamon ki numaish na kar
Apnay naseeb ki yun azmaish na kar
Jo tera hay wo tere darr pay aye ga zaror
Rooz rooz usay panay ki khuahish na kar


Friday, 27 June 2014

Tuesday, 20 May 2014

Badaltay mossam pay omeedain

Badaltay mossam pay omeedain na bandhna saaghar
Din barishon kay bary mukhtassar say hotay hain


Sunday, 11 May 2014

Dill na omeed to nahi, nakaam hi to hay

Dill na omeed to nahi, nakaam hi to hay
Lambi hay gham ki shaam, lakin shaam hi to hay


Saturday, 3 May 2014

Nikla tha es omeed say kay kar lon tumhay talash

Nikla tha es omeed say kay kar lon tumhay talash
Tum nay to umar bhar ka musafir bana diya


Wafaon kay kinaron ki omeed par

Wafaon kay kinaron ki omeed par na baith jana a Dost
Bewafai ka dairya jab bahta hay to kinare walay b doob jatay hain


Thursday, 1 May 2014

Ankh main anso jarray thay par sadda tujh ko na di

Ankh main anso jarray thay par sadda tujh ko na di
Es tawwaqqa par kay shaid to pallat kar deikhta



Sunday, 6 April 2014

Tuesday, 25 March 2014

Deewanon ko phir us say hay Omeed Wafa ki

Deewanon ko phir us say hay Omeed Wafa ki
Deewanon nay phir rait pay tahreer likhi hay



Friday, 14 March 2014

Meri umeedain bhi munfrid

Meri umeedain bhi munfrid ,meri hasretain laajawab hain
Taaron ko din main daikhnay ki jo addat rahi mujhay


Saturday, 1 March 2014

Us nay mujh say pocha

Us nay mujh say pocha mafhoom-e-ghalat fahmi kia hay
Main nay muskura kar bola, tum say Omeed-e-Wafa rakhna 


Monday, 17 February 2014

Wo Mehndi lagay hath dekha kar royi

Wo Mahndi lagay hath dekha kar royi
Main Kisi aur ki hon itna bta kar royi
Umar bhar ki judai ka kayal aya tha shaid usay
Wo mujhay paas apnay dair tak bitha kra royi
Ab kay na sahi zaror hashar main milain gain
Yakjaa honay kay dilasay dila kar royi


Saturday, 8 February 2014

Bohat naaz tha

Bohat naaz tha Mujhay kay main rook paaon ga usay
Meri Omeedon ka qatal nikla wo aik lafz "Alvidaa


Tuesday, 7 January 2014

Woh jeewan kaisa jeewan

Woh jeevan kaisa jeevan, jis main koi piyar na ho
Kisi say milnay ki ass na ho,kisi ka tujay intizar na ho


Friday, 3 January 2014

Yun hi Omeed dilatay hain zamanay walay

Yun hi Omeed dilatay hain zamanay walay
Kab loat kar atay hain janay walay



Wednesday, 1 January 2014

Ranjishon main kab Insaan soghwaar rahta hay

Ranjishon main kab Insaan soghwaar rahta hay
Dil Muhabbaton main hi beqaraar rahta hay
Laut kar nahi ata Qabar say koi Lekin
Piyar karnay walon ko Intezaar rahta hay



Sunday, 15 December 2013

Aj tak hay Dill ko us k laot anay ki omeed

Aj tak hay Dill ko us k laot anay ki omeed
Aj tak thahri hoi hay Zindagi apni jaga