Showing posts with label Khushi Poetry. Show all posts
Showing posts with label Khushi Poetry. Show all posts

Tuesday, 27 January 2015

Tum tu rah logay sath kisi or kay

Tum tu rah logay sath kisi or kay magar
Main kiya kron kay mujh ko rasta badlna nahi ata
Tum tu khush rah logay meray binna
Deikho tumharay bina mujh ko tu jeena bhi nahi ata


Friday, 23 January 2015

Wo mujh say door rah kar khush ha

Wo mujh say door rah kar khush ha to rahnay do usay
Mujhay chahat say zada us ki muskurahat pasand hay


Tuesday, 7 October 2014

Deikha Eid ka chaand

Deikha Eid ka chaand to mangi ye dua RABB say
Day day tera saath Eid ka tohffa samjh kay



Saturday, 9 August 2014

Sukoon-e-zabt ki sab koshishain

Sukoon-e-zabt ki sab koshishain baykaar jati hain
Nazar atay ho ek lamha to pahron dill dharakta hay


Teri ankhon ka ye kajal bara anmol lagta hay

Teri ankhon ka ye kajal bara anmol lagta hay
Teri zulfon ka ye badal bara anmol lagta hay
Bara masoom sa hay ye tere chehray ka bhola pann
Tera wo shok chanchal dil bara anmol lagta hay


Ishq main jeenay marnay ko hum to hain tayyar

Ishq main jeenay marnay ko hum to hain tayyar
Goli maro dunia ko khush reho na yar


Sunday, 22 June 2014

Takleef mitt gayi magar ahsaas rah gaya

Takleef mitt gayi magar ahsaas rah gaya
Khush hon kay kuch na kuch to mere paas rah gaya



Wednesday, 18 June 2014

Bhoolain gay humay to kuch na hum kahain gay

Bhoolain gay humay to kuch na hum kahain gay
Hoga dill main dard to chup chaap hum sahain gay
Agar bhool kay humain khush hay wo
To bhool jaye humain yeh dua hum krain gay


Sunday, 15 June 2014

Chalakta hay saggar piyaar ka ankhon say

Chalakta hay saggar piyaar ka ankhon say
Dill hamara khushi say ubharta hay
Na Jaanay kiya baat hoti hay piyaar main
Hota Hay dill main dard or ankhon main eshara hota hay


Tuesday, 10 June 2014

Kabhi jo badal barsay

Kabhi jo badal barsay,main deikhon tujhay ankhain bhar kay
Tu lagay mujhay pehli barish ki dua
Teray pehlo main rah lon, main khud ko pagal kah lon
Tu gham day ya khushian sah lon saathiya


Thursday, 29 May 2014

Ujala ban kay a jao meray tareek lamhoon main

Ujala ban kay a jao meray tareek lamhoon main
kay teray bin sabhi khushiyan mujhay ghamgeen lagti hain


Tuesday, 13 May 2014

Dard kay badlay har khushi le lo

Dard kay badlay har khushi le lo
Anso kay badlay humari hasi le lo
Hum say deikha na jaye ga kbhi ap ka utra huwa chehra
Agar kam a sakay to hmari zindagi le lo



Thursday, 8 May 2014

Teri yaad a gai gham khushi main dhal gaye

Teri yaad a gai gham khushi main dhal gaye
Ek charaagh kia jala so charaagh jal gaye


Saturday, 3 May 2014

Meri khushi kay lamhay mukhtassar hain es qaddar

Meri khushi kay lamhay mukhtassar hain es qaddar
Guzar jatay hain meray muskuranay say pehlay



Kitni masoom khuahish hay us deewani larki ki

Kitni masoom khuahish hay us deewani larki ki
Chahti hay mohabbat bhi kray or khush bhi rehay


Friday, 2 May 2014

Thursday, 1 May 2014

Tuesday, 22 April 2014

Es qaddar hajoom ho teri zindagi main khushion ka

Es qaddar hajoom ho teri zindagi main khushion ka
Kay gham bhi agar guzarna chahay to usay raasta na milay


Sunday, 20 April 2014

Wednesday, 19 March 2014

Har Khushi say khobsorat teri shaam kar don

Har Khushi say khobsorat teri shaam kar don 
Apna Piyaar our dosti teray naam kar don 
Mill jaye agar dubara yeh Zindagi 
Har baar may yeh Zindagi teray naam kar don