Showing posts with label Lamha Poetry. Show all posts
Showing posts with label Lamha Poetry. Show all posts

Wednesday, 8 March 2017

Koi lamha ho teray sath

Koi lamha ho teray sath ka meri umar bhar ko samait lay
Main fanna baqqa k sabhi safar isi aik pal main guzaar doon



Thursday, 21 May 2015

Tumhara sath tasalsul say chahiye

Tumhara sath tasalsul say chahiye mujh ko
Thakan zamanon ki lamhon main kab nikalti hay


Thursday, 2 October 2014

Us ki chahat kay do lamhay

Us ki chahat kay do lamhay jaan lewa thay
Pehla mohabbat ka iqrar dusra mohabbat say inkar


Thursday, 25 September 2014

Koi pal ho tere sath ka

Koi pal ho tere sath ka, meri umer bhar ko samait lay
Mainf fanna baqa k sabhi safar usi ek pal main guzar don



Thursday, 4 September 2014

Sari Zindagi main

Sari Zindagi main 
Ek Pal to aisa ho
Jo sirf Tumhra or mera ho 
Jis main koi Teesra na ho
Hum dair tak 
Ek Dosray say
Batain kartay chalay jain
Or un baton ko
Sunnay wala
Or Koi na ho
Bas Main or Tum hon
Yunhi Beithay Beithay
Kisi choti si bat pay
Hum be-tahasha hans prain
Hansty hanstay ankhon say Anso nikal prain
Un Ansoon ko saf karnay wala
Or koi na ho
Bas main or Tum hon
Kash Sari Zindagi main



Saturday, 9 August 2014

Sukoon-e-zabt ki sab koshishain

Sukoon-e-zabt ki sab koshishain baykaar jati hain
Nazar atay ho ek lamha to pahron dill dharakta hay


Monday, 23 June 2014

Khubsurat sa ek pal kissa ban jata hay

Khubsurat sa ek pal kissa ban jata hay
Janay kab kon zindagi ka hissa ban jata hay
Kuch log zindagi main miltay hain aisay
Jin say kabhi na tootnay wala rishta ban jata hay


Sunday, 22 June 2014

Ajeeb sa khumaar meri ankhon pay chaya hay

Ajeeb sa khumaar meri ankhon pay chaya hay
Har pal har jaga bas teri hi nazron ka saya hay



Thursday, 29 May 2014

Ujala ban kay a jao meray tareek lamhoon main

Ujala ban kay a jao meray tareek lamhoon main
kay teray bin sabhi khushiyan mujhay ghamgeen lagti hain


Wednesday, 28 May 2014

Lamhon main qaid kar day

Lamhon main qaid kar day jo saddioun ki chahatain
Hasrat rahi kay apna bhi koi aisa bhi talab gar ho


Wednesday, 7 May 2014

Aik pall main barbaad kar detay hain

Aik pall main barbaad kar detay hain jo dil ki basti ko
Wo loog deikhnay main kitnay masoom lagtay hain


Saturday, 3 May 2014

Meri khushi kay lamhay mukhtassar hain es qaddar

Meri khushi kay lamhay mukhtassar hain es qaddar
Guzar jatay hain meray muskuranay say pehlay



Phir sajay mehndi kay rang

Phir sajay mehndi kay rang
Phir yaad aye wohi pal jo
Betaye thay kabhi teray sang


Wednesday, 12 March 2014

Har wakt ka hansna tujhay barbaad na kar day

Har wakt ka hansna tujhay barbaad na kar day 
Tanhai kay lamhon main kbhi ro bhi liya kro



Monday, 3 March 2014

Bohat koshish ki magar fasla mitaa na saka

Bohat koshish ki magar fasla mitaa na saka
Main lamha bhar kay liye bhi us ko apna na saka
Yun to zindagi kay safar main kai humsafar milay hum ko
Lekin us ki tarah dil main koi ghar bana na saka



Saturday, 1 March 2014

Aye KHUDA us kay aik aik lamhay ki hifazzat karna

Aye KHUDA us kay aik aik lamhay ki hifazzat karna
Masoom sa chehra hay udaas ho to acha nahi lagta



Umar sari to bhohat door ki baat thi

Umar sari to bhohat door ki baat thi
Ek lamhay kay liye kash wo mera hota 


Monday, 24 February 2014

Aao kbhi yun bhi meray paas

Aao kbhi yun bhi meray paas
Kay anay main lamha or janay main Zindagi guzar jaye