Showing posts with label Baywafa Poetry. Show all posts
Showing posts with label Baywafa Poetry. Show all posts

Monday, 22 June 2015

Tujhay piyar karte karte

Tujhay piyar karte karte yunhi umar beet jaye
Karon jo main bewafai mujhay mout bhi na aaye
Jo aitbaar ho to tum say yahi kahain gain
Tere dil main ghar bana kar teri bahon main rahe gain
Tumhe is kaddar main chahu jitna koi na chahay
Tumse shuro hoi hain mere piyar ki kahani
Tum pay nisaar kar don main apni Zindgani
Mera humsafar banay gain teri chahaton k Saaye
Tujhe piyar karte yarte yuhi umar beet jaye
Karu jo main bewafai mujhe mout bhi na aaye



Tuesday, 26 May 2015

Muddatt kay baad

Muddatt kay baad haal poch kar
Us bay wafa nay phir wohi haal kar diya


Friday, 22 May 2015

Friday, 23 January 2015

Wednesday, 8 October 2014

Barsoon baad mila

Barsoon baad mila our mera naam tak bhool gaya 
Bicharty wakt jis nay kaha tha tum bhohat yaad ao gay


Tuesday, 26 August 2014

Kis qadar masoom

Kis qadar masoom, kitni shokh, lakin bay waffa
Hum nay pocha kon, wo ghabra kay bolay zindagi


Sunday, 3 August 2014

Meri barbadi pay hasnay Walay
Aj do boond ansu baha lay
Uth chala hay Wafa ka janaza
Bewafa tu bhi kandha laga lay


Wednesday, 23 July 2014

Ayaa tha imtihaan main mazmoon baywafa

Ayaa tha imtihaan main mazmoon baywafa
Wazzahat jo teri ki hum top kar gaye 



Tuesday, 8 July 2014

Humay bhi piyar karnay ka khayal aya

Humay bhi piyar karnay ka khayal aya
Jab bhi khayal aya khud ko tanha paya
Dhondtay rehay hum es dunia main dost
Kisi ko ajnabi to kisi ko baywaffa paya


Thursday, 26 June 2014

Tuesday, 20 May 2014

Wo jin main chamaktay thay wafa kay moti

Wo jin main chamaktay thay wafa kay moti
Yaqeen jano wo ankhain baywafa nikli


Saturday, 17 May 2014

Kitni saji hay baywafai teray masoom chehray par

Kitni saji hay baywafai teray masoom chehray par
Hum bhi pagal thay kay es adda pay mar gaye


Thursday, 8 May 2014

Hum to jal gaye yaaron

Hum to jal gaye yaaron ki mohabbat main moon ki trah
Agar phir bhi koi humy baywafa kahay to uski wafa ko salam apna



Sunday, 4 May 2014

Meray bin jee rehe ho

Meray bin jee rehe ho
Hadd hay baywafai ki bhi


Saturday, 3 May 2014

Wafaon kay kinaron ki omeed par

Wafaon kay kinaron ki omeed par na baith jana a Dost
Bewafai ka dairya jab bahta hay to kinare walay b doob jatay hain


Thursday, 24 April 2014

Baywafaaon ki mahfil lagay gi aaj

Baywafaaon ki mahfil lagay gi aaj
Wakt par a jana Mahman-e-Khas ho tum


Sunday, 13 April 2014

Teray wadday ki haqiqqat

Teray wadday ki haqiqqat to ayaan hay lakin
Aah wo log jo majboor-e-yakeen hotay hain
Kiun na ek jhooti tassalli pay qannaat kar lain
Loog kahtay hain addam, khuab haseen hotay hain


Friday, 4 April 2014

Besabab mujh say khafa honay ki aadat hay

Tumhay jo besabab mujh say khafa honay ki aadat hay
Ye aagaz e judai hay ya Andaz e muhabbat hay
Wafa k rung main dekho jafa achi nahi hoti
Kisi say dosti mai itni anaa achi nahi hoti
Faqat kehnay ki baatain hain nibhata kon hay kisko
Chalo ab dekh letay hain manata kon hay kisko


Wednesday, 2 April 2014

Kasoor to tha in nigahon ka

Kasoor to tha in nigahon ka
Jo chupkay say unka deedar kar bethi
Hum nay to khamosh rehnay ki qasam khai thi
Par baywafa zubaan Izhaar kar bethi



Tuesday, 25 March 2014

Roothna khafa rahna ye Wafa nahi hoti

Roothna khafa rahna ye Wafa nahi hoti
Chahton main logon say kiya khata nahi hoti
Sab ko aik jaisa kiun tum samjhne lagte ho
Kiun kay sari duniya to Bbawaffa nahi