Showing posts with label Khushbo Poetry. Show all posts
Showing posts with label Khushbo Poetry. Show all posts

Friday, 27 June 2014

Tumhari yaad ki khushbo meray damman say

Tumhari yaad ki khushbo meray damman say lapatti hay
Barra acha sa lagta hay tumhay hi sochtay rahna


Thursday, 26 June 2014

Sham hotay hi teri yaad ki pagal khushbo

Sham hotay hi teri yaad ki pagal khushbo
Neend ankhon say sukoon dill say mita deti hay



Wednesday, 14 May 2014

Tumhara sath ho to saray mossam achay lagtay hain

Tumhara sath ho to saray mossam achay lagtay hain
Warna bay maza hain phool, khushbo our barishain 

                             

Saturday, 3 May 2014

Zakham-e-tanhaaii main khushbo-e-Hina kis ki thi

Zakham-e-tanhaaii main khushbo-e-Hina kis ki thi
Sayaa deewaar pay mera tha sadda kis kii thi


Friday, 25 April 2014

Shaam hotat hi, teri yaad ki pagal khushbu

Shaam hotat hi, teri yaad ki pagal khushbu
Neend ankhon say, sakoon dill say mitta deti hay


Sunday, 20 April 2014

Saans lene say bhi teri yaad ati hay

Saans lene say bhi teri yaad ati hay
Har saans main teri khushbo bass jati hay
Kaisay kahon kay saans say main zinda hon
Jab kay saans say pehlay teri yaad ati hay


Wednesday, 2 April 2014

Jis simtt bhi deikhon nazar ata hay kay tum ho

Jis simtt bhi deikhon nazar ata hay kay tum ho
Aye jan-e-jahan ye koi tum sa hay kay tum ho
Ye khuab hay khushbo hay kay jhonka hay kay pall hay
Ye dhundh hay baddal hay kay saya hay kay tum ho