Showing posts with label Dua Poetry. Show all posts
Showing posts with label Dua Poetry. Show all posts

Wednesday, 8 March 2017

Khuda karay meri ulfat

Khuda karay meri ulfat main tum kuch yun ulajh jao
Main tumhay jab bhi dil main sochun to tum samjh jao


Tuesday, 26 May 2015

Samaj nahi ati Mohabbat

Samaj nahi ati Mohabbat ki kahani kiya hay
Sajda KHUDA Ko kar kay maangtay insaan ko hay


Tuesday, 7 October 2014

Deikha Eid ka chaand

Deikha Eid ka chaand to mangi ye dua RABB say
Day day tera saath Eid ka tohffa samjh kay



Tuesday, 8 July 2014

Jis khuab main ho jaye deedar-e-Nabi(SAW) hasil

Jis khuab main ho jaye deedar-e-Nabi(SAW) hasil
Aye ishq kbhi hum ko bhi wo neend sula day (AMEEN)


Kashti-e-jaan to bhanwwar main hay

Kashti-e-jaan to bhanwwar main hay kai barson say
Aye KHUDA ab to dabbo day ya kinaara laa day



Sunday, 6 July 2014

Aj us nay aik or dard diya to yaad aya

Aj us nay aik or dard diya to yaad aya
Hum nay bhi tu duaon main us k sab dard mangay thay


Tuesday, 1 July 2014

Phir say niklain gain talash-banddagi main roza daar ban kar

Phir say niklain gain talash-banddagi main roza daar ban kar
Dua hay ess baar hamay Razaaye-ELAAHI mil jaye


Sunday, 22 June 2014

Chor diya hum nay hemasha kay liye

Chor diya hum nay hemasha kay liye us ki arzo karna
Jis ko mohabbat ki qadar na ho us ko duaoun main kia mangna 


Friday, 20 June 2014

Aaj ess shidat_e_ishq say manga hay

Aaj ess shidat_e_ishq say manga hay tujhay KHUDA say
Meray ashk bhi dua kartay rahay meri hichkiyon k sath


Wednesday, 18 June 2014

Bhoolain gay humay to kuch na hum kahain gay

Bhoolain gay humay to kuch na hum kahain gay
Hoga dill main dard to chup chaap hum sahain gay
Agar bhool kay humain khush hay wo
To bhool jaye humain yeh dua hum krain gay


Wednesday, 11 June 2014

Hum bhi mojood thay taqdeer kay darwazay par

Hum bhi mojood thay taqdeer kay darwazay par
Logon nay dollat ki tamanna ki hum nay tumhay mang liya


Tuesday, 10 June 2014

Kabhi jo badal barsay

Kabhi jo badal barsay,main deikhon tujhay ankhain bhar kay
Tu lagay mujhay pehli barish ki dua
Teray pehlo main rah lon, main khud ko pagal kah lon
Tu gham day ya khushian sah lon saathiya


Wednesday, 4 June 2014

Pas aoo, ek eltijaa sun lo

Pas aoo, ek eltijaa sun lo
Piyaar hay tum say bay panah sun lo
Aik tum ko KHUDA say manga hay
Jab bhi mangi koi dua sun lo
Ibtidda ishq ki hoi tum say
Tum ho chahat ki inteha sun lo
Bin tere jee nahi sakunga main
Laut aao, meri sadaa sun lo
Daikh lo zindagi adhuri hay
Na raho our ab judaa sun lo
Tum ho sirf tum ho zindagi meri
Such hay such hay bakhuda sun lo
"WASI" koi nahi mera apna
Tum raho gay meray sadda sun lo


Sunday, 1 June 2014

Tera hi naqsh ubharta raha lakeeron main

Tera hi naqsh ubharta raha lakeeron main
Uthaye hath jo may nay kabhi dua kay liye


Friday, 9 May 2014

KHUDA karay kay meri Arz-e-Paak par utray

KHUDA karay kay meri Arz-e-Paak par utray
Wo Fasal-e-Gull jisay Andesha-e-Zawwal na ho


Saturday, 3 May 2014

Jis din say khoya hay tujhay

Jis din say khoya hay tujhay
Apni har Dua bay asar lagany lagi


Saturday, 26 April 2014

Yaad rakhtay hain

Yaad rakhtay hain hm aj bhi tmhain pehly ki trah apni duaon my A "Dost"
Kon kahta hay Faslay doston ki yaad mitta detay hain





Sunday, 23 March 2014

Teray hathoon ki Hina sadda mahaktti rahay

Teray hathoon ki Hina sadda mahaktti rahay
Tu jahan bhi rahay KHUDA ki panaah main rahay


Sunday, 9 March 2014

Meri rooh jaisay kuchal gaya

Meri rooh jaisay kuchal gaya
Koi shaks aisay baddal gaya
Ye kis ka Harf-e- dua raha
Kay main girtay girtay sambhal gaya
Teri yaad jab aanay lagi
Mera dard jaisay behal gaya
Meri qismaton ka qaafla
Kisi aur janib nikal gaya
Tumhain deikhtay hain baysabbab
Koi khawab mera machal gaya
Mera patharon sa garoor tha
Magar teray agay pighal gaya


Saturday, 1 March 2014

Main yeh nahi kahta

Main yeh nahi kahta kay koi tumharay liye Dua na mangay
Main to bas itna chahta hon kay koi Dua main tumhay na mangay