Showing posts with label Yaad Poetry. Show all posts
Showing posts with label Yaad Poetry. Show all posts

Friday, 9 June 2017

Bay rukhi k sath

Bay rukhi k sath sunna dard-e-dil ki daastan
Wo kalaai main tera...kangan ghumana yaad hay


Monday, 13 March 2017

Hum na rehain

Hum na rehain bhi to hamari yaadain wafa krain gi
Ye na samjhna kay tumhay chaha tha sirf do din kay liye


Friday, 2 October 2015

Agar Tere baghair

Agar Tere baghair jeena asaan hotaa
Tu kasam ha mohabat ki tujhay yaad karna bhi gunah samjhtay


Thursday, 21 May 2015

Kbhi tu tm hogay akelay

Kbhi tu tm hogay akelay, kbhi tu mera ahsaas hoga
Kbhi tu main yaad aounga kbhi tu mujh say piyaar hoga



Tuesday, 27 January 2015

Friday, 23 January 2015

Wednesday, 8 October 2014

Barsoon baad mila

Barsoon baad mila our mera naam tak bhool gaya 
Bicharty wakt jis nay kaha tha tum bhohat yaad ao gay


Sunday, 28 September 2014

Tum say kab hum nay mulaqat ka waada chaha

Tum say kab hum nay mulaqat ka waada chaha
Door rah kar tujhay kuch aur bhi ziada chaha
Yaad ayi hay teri aur bhi shiddat say humain
Bhool jaanay ka tujhay jab bhi iraada chaha


Thursday, 11 September 2014

Friday, 1 August 2014

Aye barish... Baras, baras our baras

Aye barish... Baras, baras our baras
Aj tu us ki yaadon ko bahaa lay jaa



Saturday, 12 July 2014

Jahan bhuli hoi yaadain damman tham lain dill ka

Jahan bhuli hoi yaadain damman tham lain dill ka
Wahan say ajnabi ban kay guzar jana hi acha hay



Tuesday, 8 July 2014

Seekh lo kisi ki chahat ki qaddar karna

Seekh lo kisi ki chahat ki qaddar karna
Kahin koi mar na jaye tumhay yaad kartay kartay


Meri zeesst ka hay ye qissa purana

Meri zeesst ka hay ye qissa purana
Tumhain yaad karna, nahi bhool pana
Meray paas a kay tera muskurana
Nazar say guzar kar, jigar main samanna
Ye ghazlain, kitabain, ye yaron ki mehfil
Tujhay bhool panay ka hain ik bahana
Na sun na kabhi bhi mere dil ke nalay
Akelay main meri ghazal gungunana
Muhabbat ki khatir, zamanay say larna
Zamanay ki khatir, muhabbat bhulana


Sunday, 6 July 2014

Aj us nay aik or dard diya to yaad aya

Aj us nay aik or dard diya to yaad aya
Hum nay bhi tu duaon main us k sab dard mangay thay


Friday, 4 July 2014

Mujhay maar hi na dalay en badlon ki sazish

Mujhay maar hi na dalay en badlon ki sazish
Ye jab say barras rahay hain tum yaad a rehay ho


Thursday, 3 July 2014

Dill walay to our bhi hongay tere shahar main

Dill walay to our bhi hongay tere shahar main
Magar hamara andaaz-e-wafa tumhay aksar yaad aye ga



Tuesday, 1 July 2014

Itna ghafil to andhioun say koi ragistaan bhi na hoga

Itna ghafil to andhioun say koi ragistaan bhi na hoga
Jitna ghafil aj ka insaan apnay RABB ki yaad say hay



Friday, 27 June 2014

Tumhari yaad ki khushbo meray damman say

Tumhari yaad ki khushbo meray damman say lapatti hay
Barra acha sa lagta hay tumhay hi sochtay rahna


Thursday, 26 June 2014

Monday, 23 June 2014

Sochtay hain us ko

Sochtay hain us ko to doobtay hi chalay jatay hain 
Ankhain hi nahi us ki yaadain bhi sammandar hain