Showing posts with label Nighah Poetry. Show all posts
Showing posts with label Nighah Poetry. Show all posts

Friday, 9 June 2017

Nighahain bolti hain

Nighahain bolti hain bay tahasha
Mohabat paaglon ki gufftugo hay


Wednesday, 8 March 2017

Aayinay bhi tumhay

Aayinay bhi tumhay tumhari khabar nahi day saktay
Ao deikho hmari nighahon say tum kitne haseen ho


Wednesday, 8 February 2017

Nighahain neechi kar

Nighahain neechi kar kay apni raah chalna
Log palkon say bhi alfaaz chura letay hain


Friday, 2 October 2015

Wo chup rahti thi

Wo chup rahti thi magar nigahain bolti thi
Kuch log khamosh rah kar bhi dil jeet jatay hain


Tuesday, 27 January 2015

Aayinay bhi tumhain tumhari khabar

Aayinay bhi tumhain tumhari khabar na day sakain gain
Aao deikho meri nigahon main kitnay haseen ho tum


Wednesday, 14 May 2014

Bari talab hay teray deedar ki baychain nighahon ko

Bari talab hay teray deedar ki baychain nighahon ko
Kisi sham chalay aao en ankhon main raat ka khuab ban kar


Tuesday, 13 May 2014

Bakhshah hay husan us ko

Bakhshah hay  husan us ko, hmari nigah nay
Hum hi laye hain Usay,Hadd-e-Gharoor tak


Monday, 5 May 2014

Sunday, 20 April 2014

Jahan main hotay hain kuch aisay bhi hunnar walay

Jahan main hotay hain kuch aisay bhi hunnar walay
Jo ek nighah main dillon pay raaj kartay hain




Wednesday, 2 April 2014

Kasoor to tha in nigahon ka

Kasoor to tha in nigahon ka
Jo chupkay say unka deedar kar bethi
Hum nay to khamosh rehnay ki qasam khai thi
Par baywafa zubaan Izhaar kar bethi



Wednesday, 26 March 2014

Un ki nighah main koi jadoo zaroor tha

Un ki nighah main koi jadoo zaroor tha
Jis par bhi pari usi kay jigar main utar gai


Tuesday, 25 March 2014

Jaaon ga kahan toor kar zanjeer-e-waffa ko

Jaaon ga kahan toor kar zanjeer-e-waffa ko
Har so meri janib hain nigraan teri nighahain



Wednesday, 12 March 2014

Miltay hi nazar hum say churra letay ho nighahain

Miltay hi nazar hum say churra letay ho nighahain
Kia khoob samjhtay ho nighahoon ki zubban tum


Monday, 10 March 2014

Wo hata rahain hain parda

Wo hata rahain hain parda
Sar-e- Aam chupkay chupkay
Koi qatal ho raha hay
Dar-e- Baam chupkay chupkay
Ye jhuki jhuki nighahain
Ye haseen haseen ishaaray
Kahin lay na jain shayad
Meri jaan chupkay chupkay
Kabhi shokiyaan dikhana
Kabhi un ka muskurana
Ye adaain kar na dalain
Mera kaam chupkay chupkay
Ye jo hichkiyaan musalsal
Mjhay aa rahi hain yaroo
Koi lay raha hay shayad
Mera naam chupkay chupkay