Showing posts with label Hussan Poetry. Show all posts
Showing posts with label Hussan Poetry. Show all posts

Tuesday, 27 June 2017

Chaand Eid ka

Chaand Eid ka dilkash hay, jaanta hon
Hussan-e-janaan say magar haar jaye ga....


Friday, 9 June 2017

Chupa k rukh apna

Chupa k rukh apna parday main us zalim nay
Tajjassuss ko mereay or barha diya hay..



Us nay saja k chehray par

Us nay saja k chehray par itne hazar rang
Qoos-e-qazza ko daal diya ha azaab main


Pocha jo un say

Pocha jo unn say chaand nikalta ha kis tarah
Zulfon ko rukh pay dal k jhatka diya k yunn..


Sunday, 12 March 2017

Teri tareef agar

Teri tareef agar aayina b hi kray 
Toor don main usay dil ye mera kray


Wednesday, 8 March 2017

Aayinay bhi tumhay

Aayinay bhi tumhay tumhari khabar nahi day saktay
Ao deikho hmari nighahon say tum kitne haseen ho


Tuesday, 21 February 2017

Unka hussan yun hay

Unka hussan yun hay saahib
Barf main dhakka kashmir ho jaisay


Tuesday, 14 February 2017

Labbon ki gufftugo

Labbon ki gufftugo nahi ankhon ka kalaam acha ha
Hussan walon say bas...door ka salaam acha hay



Monday, 3 October 2016

Ishq ka apna gharoor

Ishq ka apna gharoor hussan ki apni Anna
Un say aya na gaya hum say bhulaya na gaya....


Main jaan boojh kay utra tha

Main jaan boojh kay uttra tha jaal main us kay
Wo sochta tha kashish hay jamaal main us kay....


Tuesday, 27 January 2015

Aayinay bhi tumhain tumhari khabar

Aayinay bhi tumhain tumhari khabar na day sakain gain
Aao deikho meri nigahon main kitnay haseen ho tum


Thursday, 20 November 2014

Mohabbat mujhay tujh say nahi

Mohabbat mujhay tujh say nahi teray kirdaar say hay
Warna haseen log to bazaar main aam bika kartay hain


Khud hi apni addaon pay ghaor karo

Khud hi apni addaon pay ghaor karo
Hum agar arz krain gay to shikayat hogi


Wednesday, 8 October 2014

Dhaanp rahi thi wo khud ko anchal say

Dhaanp rahi thi wo khud ko anchal say baar baar
Bhala raat chupa sakti hay, hussan chaand ka


Thursday, 2 October 2014

Nayaab ankhon ka ye matlab to nahi

Nayaab ankhon ka ye matlab to nahi
Kay tum jis ko bhi deikho, usay barbaad hi kr do



Friday, 19 September 2014

Chehray ka nisf hissa

Chehray ka nisf hissa zair-e-naqaab kar kay
Hussan walay kartay hain deedar main milawat



Thursday, 4 September 2014

Mana k tum haseen ho

Mana k tum haseen ho magar is qadar nahi
Jitna k meri deed ne tum ko bana diya



Tuesday, 2 September 2014

Na janay kiun itna yaqeen hay

Na janay kiun itna yaqeen hay teri waffa par
Warna hussan walay to khud say bhi waffa nahi kartay


Friday, 22 August 2014

Kuch baat hay us ki fittrat main

Kuch baat hay us ki fittrat main
Warna usay chahnay ki khata hum bar bar na kartay


Saturday, 12 July 2014

Meray zawwal say pehlay chor gaya wo mujhay

Meray zawwal say pehlay chor gaya wo mujhay
Haseen to tha hi par zaheen kitna tha