Showing posts with label Dharkan Poetry. Show all posts
Showing posts with label Dharkan Poetry. Show all posts

Friday, 15 August 2014

Wohi kajal surmay wali ankh

Wohi kajal surmay wali ankh
Wohi gehri kali kali ankh
Janay kiun sehra lagti hay
Wo dard bhari matwali ankh
Surmay main gazzab ki shoukhi thi
Kajal ki dhaar anoukhi thi
Allah! kitna tarsaati thi
Wo har dam jhuknay wali ankh
Us shakhs pay jab wo marti thi
Kehnay say phir kiun darti thi



Saray jazbay teri chahat kay

Saray jazbay teri chahat kay deikhai detay
Kash, ankhon main kahin dill bhi dharakta hota



Saturday, 9 August 2014

Sukoon-e-zabt ki sab koshishain

Sukoon-e-zabt ki sab koshishain baykaar jati hain
Nazar atay ho ek lamha to pahron dill dharakta hay


Thursday, 5 June 2014

Dill bhool nahi sakta tumhay

Dill bhool nahi sakta tumhay
Dharkanon ki zarorat ho tum
Tum say hay meri dunia haseen
Meri pehli mohabbat ho tum