Showing posts with label Aitbar Poetry. Show all posts
Showing posts with label Aitbar Poetry. Show all posts

Sunday, 5 March 2017

Jisam chonay say

Jisam chonay say mohabbat nahi hoti
Ye wo jazba ha jisay emaan kahtay hain


Wednesday, 8 February 2017

Milega na tumhay koi

Milega na tumhay koi is zameen par
Ye saray nishanay laga do hami par
Hamay bhol jana bhale tum kbhi bhi
Par shak na karna hamaray yaqeen par
Kisi ki nazar na lag jaye tum ko
Ye dunia ki nazrain lagi hain tumhi par
Mohabat main haan hi zaroori nahi hay
Main ashiq bana hon tumhri nahi par


Monday, 22 June 2015

Tujhay piyar karte karte

Tujhay piyar karte karte yunhi umar beet jaye
Karon jo main bewafai mujhay mout bhi na aaye
Jo aitbaar ho to tum say yahi kahain gain
Tere dil main ghar bana kar teri bahon main rahe gain
Tumhe is kaddar main chahu jitna koi na chahay
Tumse shuro hoi hain mere piyar ki kahani
Tum pay nisaar kar don main apni Zindgani
Mera humsafar banay gain teri chahaton k Saaye
Tujhe piyar karte yarte yuhi umar beet jaye
Karu jo main bewafai mujhe mout bhi na aaye



Wednesday, 8 October 2014

Kiun hota hay ye aitbaar ki dahleezon pay

Kiun hota hay ye aitbaar ki dahleezon pay aksar
Jo bhohat apnay hoon wohi apnay nahi rahtay



Tuesday, 2 September 2014

Na janay kiun itna yaqeen hay

Na janay kiun itna yaqeen hay teri waffa par
Warna hussan walay to khud say bhi waffa nahi kartay


Thursday, 3 July 2014

Mitt jaye gunnahon ka tassawar

Mitt jaye gunnahon ka tassawar hi jahan say IQBAL
Agar ho jaye yaqqeen kay KHUDA deikh raha hay


Sunday, 22 June 2014

Manzar tumharay hussan ka

Manzar tumharay hussan ka sab ki nazar main hay
Ab Meray aitbaar ki Kashti Bhanwwar main hay





Wednesday, 4 June 2014

Humain yaqeen ki hadd tak gumaan hay

Humain yaqeen ki hadd tak gumaan hay
Wo shakhs aj bhi apnay siwa kisi ka nahi



Sunday, 13 April 2014

Teray wadday ki haqiqqat

Teray wadday ki haqiqqat to ayaan hay lakin
Aah wo log jo majboor-e-yakeen hotay hain
Kiun na ek jhooti tassalli pay qannaat kar lain
Loog kahtay hain addam, khuab haseen hotay hain


Sunday, 23 March 2014

Chor diya hum nay aitbaar

Chor diya hum nay aitbaar qismat ki lakeeron pay wasi
Jo dillon main bas jain wo lakeeron main nahi mila kartay


Wednesday, 19 March 2014

Yakeen na aye to ek baar poch kar deikho

Yakeen na aye to ek baar poch kar deikho
Jo hans raha hay wo zakhmon say chor niklay ga



Friday, 14 March 2014

Gharoor to nahi kartay

Gharoor to nahi kartay lekin itna 'Yaqeen' zaroor hay
Agar "Yaad" nahi karo gay to bhula bhi nahi pao gay

                              


Sunday, 9 March 2014

Sab kuch jantay huway bhi dill manta nahi tha

Sab kuch jantay huway bhi dill manta nahi tha
Hum janay Aitbaar kay kis marhalay main thay



Thursday, 6 March 2014

Us nay Kaha bharosa dill pay itna nahi kartay

Us nay Kaha bharosa dill pay itna nahi kartay
Mainay kaha piyaar main kabhi socha  nahi kartay
Us nay kaha bhohat kuch duniya kay nazaaron main hay
Mainay kaha jab tum saath ho to hum kuch or deikha nahi kartay


Wednesday, 5 March 2014

Wafa main ab ye hunnar ikhtiyaar karna hay

Wafa main ab ye hunnar ikhtiyaar karna hay
Woh sach kahain na kahain aitbaar karna hay


Loat jata main phir say us kay pass magar kia faida

Loat jata main phir say us kay pass magar kia faida
Na dil raha, na piyar raha, na Dil ko uss par aitbaar raha



Tuesday, 7 January 2014

Hay piyar un ko hum say itna to yaqeen hay humay

Hay piyar un ko hum say itna to yaqeen hay humay
Wo inkar bhi kartay hain to ankhain sath nahi deti 



Sunday, 5 January 2014

Dill ko teri chahat pay bharosa bhi bhohat hay

Dill ko teri chahat pay bharosa bhi bhohat hay
Or tujh say Bichar janay ka darr bhi nahi jata


Tuesday, 24 December 2013

Tum mujhay moqa to do Aitbaar bananay ka

Tum mujhay moqa to do Aitbaar bananay ka
Thak jao gay chaltay chaltay meri Wafa k sath