Showing posts with label Chanchal Poetry. Show all posts
Showing posts with label Chanchal Poetry. Show all posts

Saturday, 9 August 2014

Teri ankhon ka ye kajal bara anmol lagta hay

Teri ankhon ka ye kajal bara anmol lagta hay
Teri zulfon ka ye badal bara anmol lagta hay
Bara masoom sa hay ye tere chehray ka bhola pann
Tera wo shok chanchal dil bara anmol lagta hay


Wednesday, 19 March 2014

Wo larki shoukh Or chanchal si

Wo larki shoukh Or chanchal si 
Ek Baad-e-Saba si lagti hay
Aankhon main shoukhi shararat liye 
Bass yunhi dill mai utarti hay
Tittli kay rangon say jaisay 
Rang saaray churaaye beithi hay


Tuesday, 25 February 2014

Mujhay Ahsaas-e-Ulffat wo enayyat kiun nahi karty

Mujhay Ahsaas-e-Ulffat wo enayyat kiun nahi karty
Meri ezzat to kartay hain mohabbat kiun nahi karty
Ye sary log kahtay hain k wo chanchal tabiyat hain
Magar wo samnay meray shararat kiun nahi kartay