Showing posts with label Dill Lagi Poetry. Show all posts
Showing posts with label Dill Lagi Poetry. Show all posts

Monday, 22 June 2015

Tujhay piyar karte karte

Tujhay piyar karte karte yunhi umar beet jaye
Karon jo main bewafai mujhay mout bhi na aaye
Jo aitbaar ho to tum say yahi kahain gain
Tere dil main ghar bana kar teri bahon main rahe gain
Tumhe is kaddar main chahu jitna koi na chahay
Tumse shuro hoi hain mere piyar ki kahani
Tum pay nisaar kar don main apni Zindgani
Mera humsafar banay gain teri chahaton k Saaye
Tujhe piyar karte yarte yuhi umar beet jaye
Karu jo main bewafai mujhe mout bhi na aaye



Tuesday, 2 September 2014

Teri thori si dill lagi

Teri thori si dill lagi
Meray dill par ja lagi hay




Saturday, 24 May 2014

Tujh ko ata hi nahi meri mohabbat ka yaqeen

Tujh ko ata hi nahi meri mohabbat ka yaqeen
Kab say ye hath teri simtt barha rakha hay
Dill ki ghati main dabay paoun utar jati hain
Teri ankhon nay to deewana bana rakha hay


Friday, 23 May 2014

Un k Andaz-e-Karam,us pay wo ana dil ka

Un k Andaz-e-Karam,us pay wo ana dil ka
Haye wo waqt, wo batain, wo zamana dil ka
Na suna usnay tawajjo say fasana dil ka
Umar guzri par dard na jana dill ka
Dill lagi, dill ki lagi ban k mita deti ha
Rog dushman ko bi ya RAB na lagana dill ka
Wo bi apne na howy dil bi gaya hathon say
Asay apnay say to behtar tha na aana dil ka
Unki mehfil main "Parveen" un k tabassum ki Qasam
Hum dekhtay rah gaye hath say jana dil ka



Wednesday, 14 May 2014

Ajeeb lutf a raha hay dildar ki dil lagi ka

Ajeeb lutf a raha hay dildar ki dil lagi ka
Kay nazrain bhi mujh par thin our parda bhi mujh say tha


Sunday, 11 May 2014