Showing posts with label Romantic Poetry. Show all posts
Showing posts with label Romantic Poetry. Show all posts

Wednesday, 8 March 2017

Tumhay tarteeb day raha hoon

Tumhay tarteeb day raha hoon main
Meray anddar bikhar gaye ho tum



Sunday, 5 March 2017

Jisam chonay say

Jisam chonay say mohabbat nahi hoti
Ye wo jazba ha jisay emaan kahtay hain


Tuesday, 31 January 2017

Tum nay Mohabbat

Tum nay Mohabbat Mohabbat say ziada ki hay
Hum na Mohabbat tum say bhi ziada ki hay
Tum kiya kro gay Mohabbat ki Innteha
Hum nay Inteha say tu ibtidda ki hay


Sunday, 9 October 2016

Kisi din hath dho baitho gay

Kisi din hath dho baitho gay hum say
Tumhay bhohat shouq hay bayrukhi ka


Tuesday, 7 July 2015

Jo seenay main dharakta hay

Jo seenay main dharakta hay mujhay Wo dil na do Lekin
Jo chahat us k andar hay, Wo meray naam tum kar do


Monday, 22 June 2015

Tujhay piyar karte karte

Tujhay piyar karte karte yunhi umar beet jaye
Karon jo main bewafai mujhay mout bhi na aaye
Jo aitbaar ho to tum say yahi kahain gain
Tere dil main ghar bana kar teri bahon main rahe gain
Tumhe is kaddar main chahu jitna koi na chahay
Tumse shuro hoi hain mere piyar ki kahani
Tum pay nisaar kar don main apni Zindgani
Mera humsafar banay gain teri chahaton k Saaye
Tujhe piyar karte yarte yuhi umar beet jaye
Karu jo main bewafai mujhe mout bhi na aaye



Tuesday, 26 May 2015

Sunday, 3 August 2014

Friday, 27 June 2014

Yes I am selfish

Yes I am selfish
Thats why I care for you
Thats why I scare to lose you
Thats why I miss you every moment
Thats why I cry for you in your absence
Thats why I always wish that one day you Would be mine
Yes I am selfish, because I Love U




Thursday, 29 May 2014

Ujala ban kay a jao meray tareek lamhoon main

Ujala ban kay a jao meray tareek lamhoon main
kay teray bin sabhi khushiyan mujhay ghamgeen lagti hain


Wednesday, 28 May 2014

Bas shukriya kahna tha es nazar-e-karam ka piyaray

Bas shukriya kahna tha es nazar-e-karam ka piyaray
Khuab main milay ho our kia khoob milay ho



Monday, 12 May 2014

Ek haseen larki ki chahat nay

Ek haseen larki ki chahat nay
Mujhay apna aap bhula diya
Kiya jab ezhaar-e-ishaq unhon nay
May nay hosh apna ganwwa diya
Ye soch kar he maghroor ho jata hon ahsan
Kay main nay tujhay apna bana liya


Friday, 2 May 2014

Rukh-e-Yaar par zulfain

Rukh-e-Yaar par zulfain yun bikhar rahi hain jaisay
Kabhi din nikal raha hay, kabhi raat ho rahi hay



Sunday, 20 April 2014

Saans lene say bhi teri yaad ati hay

Saans lene say bhi teri yaad ati hay
Har saans main teri khushbo bass jati hay
Kaisay kahon kay saans say main zinda hon
Jab kay saans say pehlay teri yaad ati hay


Wednesday, 2 April 2014

Mere jee main aye, galay say laga loon

Mere jee main aye, galay say laga loon
Adaa rooth janay ki tum say chura loon


Thursday, 27 March 2014

Meri band ankhoin ka sacha khwuab ho tum

Meri band ankhoin ka sacha khwuab ho tum
Meri tanhaiyon Kay sawalon ka jawab ho tum
Ab to duniya bhi roth jaye to gum na hoga
Meri duniya, kayinaat mera Chaand ho tum


Tuesday, 25 March 2014

Our zamannat wafa ki kia hogi

Our zamannat wafa ki kia hogi
Tum meri saans garvi rakh lo na 


Mohabbat banddagi hay es main tann ka qurrb mat mango

Mohabbat banddagi hay es main tann ka qurrb mat mango
Kay jis ko choo liya jaye, usay pojaa nahi kartay


Friday, 21 March 2014

Jurm samjho toh nooch dalo inhain

Jurm samjho toh nooch dalo inhain
Meri ankhoon ko bhaa gaye ho tum


Kash main tere haseen hath ka kangan hota

Kash main tere haseen hath ka kangan hota
Tu bare piyaar say bare chao say bade araam kay sath
Apni nazuk si kalai main charhati mujh ko
Aur betabi say furqat kay khizan lamhoon main
Tu kisi soch main dubi jo ghumati mujh ko