Showing posts with label Deedar Poetry. Show all posts
Showing posts with label Deedar Poetry. Show all posts

Monday, 3 October 2016

Mann k mandir main teri tasweer

Mann kay mandir main teri Tasweer ki pooja kron
Tu mujhay deikhay na deikhay par main tujhay deikha kron...


Friday, 23 January 2015

Tassawar main chalay aao

Tassawar main chalay aao, zara deedar kar lain
Tamanna tum say milnay ki to pori ho nahi sakti



Friday, 19 September 2014

Chehray ka nisf hissa

Chehray ka nisf hissa zair-e-naqaab kar kay
Hussan walay kartay hain deedar main milawat



Thursday, 4 September 2014

Mana k tum haseen ho

Mana k tum haseen ho magar is qadar nahi
Jitna k meri deed ne tum ko bana diya



Tuesday, 2 September 2014

Laazim to nahi hay

Laazim to nahi hay tumhay ankhon say he deikhon
Kiya tera tassawar teray deedar say kam hay


Saturday, 12 July 2014

Hasrat-e-deedar bhi kya cheez hay Dost

Hasrat-e-deedar bhi kya cheez hay  Dost 
Wo samnay aye to musalsal dekha bhi nai jata


Tuesday, 8 July 2014

Jis khuab main ho jaye deedar-e-Nabi(SAW) hasil

Jis khuab main ho jaye deedar-e-Nabi(SAW) hasil
Aye ishq kbhi hum ko bhi wo neend sula day (AMEEN)


Bari bay lagaam si ho gain hain meri ankhain

Bari bay lagaam si ho gain hain meri ankhain
Teri deed kay musalsal bahanay dhondhti hain



Friday, 6 June 2014

Himmat-e-eltija nahi baqi

Himmat-e-eltija nahi baqi
Zabt ka hosla nahi baqi
Ek teri deed chin gai mujh say
Warna dunia main kia nahi baki
Apnay mashq-e-sitam say hath na khainch
Main nahi ya wafa nahi baki


Wednesday, 14 May 2014

Bari talab hay teray deedar ki baychain nighahon ko

Bari talab hay teray deedar ki baychain nighahon ko
Kisi sham chalay aao en ankhon main raat ka khuab ban kar


Wednesday, 23 April 2014

Main hoon agar awaara to waja hay hussan tera

Main hoon agar awaara to waja hay hussan tera
Main aisa hargiz na tha teray deedaar say pehlay


Sunday, 6 April 2014

Wednesday, 2 April 2014

Kasoor to tha in nigahon ka

Kasoor to tha in nigahon ka
Jo chupkay say unka deedar kar bethi
Hum nay to khamosh rehnay ki qasam khai thi
Par baywafa zubaan Izhaar kar bethi



Sunday, 23 March 2014

Ho gai ap kay parday pay haya bhi qurbaan

Ho gai ap kay parday pay haya bhi qurbaan
Parda dari bhi hay our Dawwat-e-Deedar bhi hay



Friday, 14 March 2014

Teray deedar kay talabgaar

Teray deedar kay talabgaar to bhohat hongay magar Abbas
Deikhay to jisay jee bhar kay hasil ye muqaam faqat aayinay ko hoga