Showing posts with label Tanhai Poetry. Show all posts
Showing posts with label Tanhai Poetry. Show all posts

Friday, 9 June 2017

Tera pahlo tere dil ki trah

Tera pahlo tere dil ki trah abaad rehay
Tujh pay guzray na qayyamat shab-e-tanhai ki..


Wednesday, 8 March 2017

Bicharr kar tum say

Bicharr kar tum say raah-e-ishq main itnay huwy tanha
Thakay tanha giray tanha uthay tanha chalay tanha


Tuesday, 31 January 2017

Thursday, 6 October 2016

Tanhaiyon main muskurana

Tanhaiyon main muskurana ishq hay
Ek baat ko sab say chupana ishq hay
Yun to neend nahi ati hmy raat bhar
Magar sotay sotay jagna or jagtay jagtay sona hi ishq hay


Thursday, 21 May 2015

Kbhi tu tm hogay akelay

Kbhi tu tm hogay akelay, kbhi tu mera ahsaas hoga
Kbhi tu main yaad aounga kbhi tu mujh say piyaar hoga



Tuesday, 8 July 2014

Humay bhi piyar karnay ka khayal aya

Humay bhi piyar karnay ka khayal aya
Jab bhi khayal aya khud ko tanha paya
Dhondtay rehay hum es dunia main dost
Kisi ko ajnabi to kisi ko baywaffa paya


Monday, 23 June 2014

Zindagi ka raaz tanhaayi mein paa liya

Zindagi ka raaz tanhaayi mein paa liya
Jis ka gham mila apna banna liya
Humara gham sunnay ko jab koi na mila
Saamnay rakha aayina aur khud ko suna diya 


Wednesday, 18 June 2014

Har shakhs ki tanhai ko

Har shakhs ki tanhai ko door kia hum nay
Phir bhi har morr par khud ko tanha paya



Sunday, 15 June 2014

Ek chand tanha khara raha

Ek chand tanha khara raha
Meray asmaan say zara paray
Meray sath sath safar main tha
Meri manzilon say zara paray
Teri jusstuju kay hisaar say
Teray khawab teray khayal say
Mein Wo shaks tha jo khara raha
Teri chahaton say zara paray



Monday, 21 April 2014

Wednesday, 2 April 2014

Thursday, 27 March 2014

Meri band ankhoin ka sacha khwuab ho tum

Meri band ankhoin ka sacha khwuab ho tum
Meri tanhaiyon Kay sawalon ka jawab ho tum
Ab to duniya bhi roth jaye to gum na hoga
Meri duniya, kayinaat mera Chaand ho tum


Tuesday, 25 March 2014

Ye dard ki tanhayiaan, ye dasht ka veeran safar

Ye dard ki tanhayiaan, ye dasht ka veeran safar
Hum log to ukhta gaye, apni sunna awaargi



Wednesday, 19 March 2014

Sar-e-Bazaar niklon to, Awaargi ki tuhmatt

Sar-e-Bazaar niklon to, Awaargi ki tuhmatt
Tanhai main baithon to, Elzaam-e-Mohabbat


Wednesday, 12 March 2014

Har wakt ka hansna tujhay barbaad na kar day

Har wakt ka hansna tujhay barbaad na kar day 
Tanhai kay lamhon main kbhi ro bhi liya kro



Monday, 10 March 2014

Akks to mujood tha par akks tanhai ka tha

Akks to mujood tha par akks tanhai ka tha
Aayina to tha magar us main tera chehra na tha



Monday, 24 February 2014

Chal tujhe dikha doon apni Aankho ki veeraniya

Chal tujhe dikha doon apni Aankho ki veeraniya
Shayad ke kuch tujhe ehsaas ho meri tanhai ka



Tuesday, 4 February 2014

Intzar ki arzo ab kho gayi hay

Intzar ki arzo ab kho gayi hay
Khamoshiyun ki addat ho gayi hay
Na shikwa raha na shikayt kisi say
Agar hai to ek mohbbat,jo in tanhayion say ho gai hay


Monday, 27 January 2014

Maana kay naseeb main meray koi Humdard nahi

Maana kay naseeb main meray koi Humdard nahi
Phir bhi koi shikwaa koi gham nahi
Tanha hay aur Tanha hi chalay jain gay
Badnaseeb toh hain magar Bewafa hum nahi