Showing posts with label Nazar Poetry. Show all posts
Showing posts with label Nazar Poetry. Show all posts

Friday, 9 June 2017

Ajeeb shakhs hay

Ajeeb shakhs hay mujh say guraiz paa bhi hay
Nazar na aaon tu..phir mujh ko dhondhta bhi hay


Wednesday, 8 February 2017

Milega na tumhay koi

Milega na tumhay koi is zameen par
Ye saray nishanay laga do hami par
Hamay bhol jana bhale tum kbhi bhi
Par shak na karna hamaray yaqeen par
Kisi ki nazar na lag jaye tum ko
Ye dunia ki nazrain lagi hain tumhi par
Mohabat main haan hi zaroori nahi hay
Main ashiq bana hon tumhri nahi par


Nighahain neechi kar

Nighahain neechi kar kay apni raah chalna
Log palkon say bhi alfaaz chura letay hain


Thursday, 21 May 2015

Ruk hi jati hay nazar

Ruk hi jati hay nazar had-e-nazar tak lekin
Dil tu kahta hay jahan tum ho Wahan tak deikhon


Saturday, 9 August 2014

Sukoon-e-zabt ki sab koshishain

Sukoon-e-zabt ki sab koshishain baykaar jati hain
Nazar atay ho ek lamha to pahron dill dharakta hay


Sunday, 3 August 2014

Mohabbat dill ka sajda hay

Mohabbat dill ka sajda hay jo hay toheed par qaim
Nazar kay shirk walon say mohabbat roth jati hay




Tuesday, 8 July 2014

Meri zeesst ka hay ye qissa purana

Meri zeesst ka hay ye qissa purana
Tumhain yaad karna, nahi bhool pana
Meray paas a kay tera muskurana
Nazar say guzar kar, jigar main samanna
Ye ghazlain, kitabain, ye yaron ki mehfil
Tujhay bhool panay ka hain ik bahana
Na sun na kabhi bhi mere dil ke nalay
Akelay main meri ghazal gungunana
Muhabbat ki khatir, zamanay say larna
Zamanay ki khatir, muhabbat bhulana


Thursday, 3 July 2014

Monday, 23 June 2014

Sunday, 22 June 2014

Manzar tumharay hussan ka

Manzar tumharay hussan ka sab ki nazar main hay
Ab Meray aitbaar ki Kashti Bhanwwar main hay





Ajeeb sa khumaar meri ankhon pay chaya hay

Ajeeb sa khumaar meri ankhon pay chaya hay
Har pal har jaga bas teri hi nazron ka saya hay



Wo naqab kr k chehray par

Wo naqab kr k chehray par khud ko ishq say mehfoz samjhty rehay 
Nadan itna bi ni samjhay k ishq chehray say ni nazron say shuro hota hy



Thursday, 5 June 2014

Shararat lay kar ankhon main

Shararat lay kar ankhon main wo us ka deikhna toba
Main nazron pay jami nazrain, jhukana bhool jata hon


Tuesday, 3 June 2014

Raha na tha go Rabt-e-Musalsal kabhi

Raha na tha go Rabt-e-Musalsal kabhi
Ek sarsari nazar hi bari chot day gai


Wednesday, 28 May 2014

Bas shukriya kahna tha es nazar-e-karam ka piyaray

Bas shukriya kahna tha es nazar-e-karam ka piyaray
Khuab main milay ho our kia khoob milay ho



Friday, 23 May 2014

Monday, 19 May 2014

Jaanay kis mossam main yeh baat ho gayi

Jaanay kis mossam main yeh baat ho gayi
Nazrain mili tum say phoolon ki barsaat ho gayi
Dharkan toh jaisay sargam ki taal ho gayi
Sappnon ki dharti khushiuon ka sansaar ho gayi
Chahat ki moujon main zindagi sawar ho gayi
Aaye piyaar main tofaan koi nazar teri patwaar ho gayi
Chana nan baaji payaliya yeh ras ki phuhaar ho gayi
Mathay ki bindiya sajan ka shringaar ho gayi


Bhohat nazar andaaz karnay lagay ho mujhay

Bhohat nazar andaaz karnay lagay ho mujhay
Baaz a jao warna inhi nazron say dhontay rah jao gay


Wednesday, 14 May 2014

Ajeeb lutf a raha hay dildar ki dil lagi ka

Ajeeb lutf a raha hay dildar ki dil lagi ka
Kay nazrain bhi mujh par thin our parda bhi mujh say tha


Tuesday, 13 May 2014

Us k hath ki kash me wo lakeer ban jaon

Us kay hath ki kash main wo lakeer ban jaon
Kash main uska muqqadar uski taqdeer ban jaon
Main usay itna chahon k wo bhool jaye har rishta
Sirf main hi us k har rishtay ki tasveer ban jaon
Wo aankhain band karay to aaon main hi nazar
Es tarha main us kay har khuawab ki tabeer ban jaon