Showing posts with label Hansi Poetry. Show all posts
Showing posts with label Hansi Poetry. Show all posts

Friday, 9 June 2017

Kaheen cheeni hogi

Kaheen cheeni hogi kisi say tu hansi tu nay
Warna musalsal muskurana kisay naseeb hota hay


Wednesday, 8 October 2014

Hanstay raho gay to duniya bhi sath hay warna

Hanstay raho gay to duniya bhi sath hay warna 
Ansoo ko to aankh main bhi jagaa nahi milti


Tuesday, 7 October 2014

Thursday, 4 September 2014

Sari Zindagi main

Sari Zindagi main 
Ek Pal to aisa ho
Jo sirf Tumhra or mera ho 
Jis main koi Teesra na ho
Hum dair tak 
Ek Dosray say
Batain kartay chalay jain
Or un baton ko
Sunnay wala
Or Koi na ho
Bas Main or Tum hon
Yunhi Beithay Beithay
Kisi choti si bat pay
Hum be-tahasha hans prain
Hansty hanstay ankhon say Anso nikal prain
Un Ansoon ko saf karnay wala
Or koi na ho
Bas main or Tum hon
Kash Sari Zindagi main



Tuesday, 26 August 2014

Chupa raha hay kisi karb ko

Chupa raha hay kisi karb ko kisi gham ko
Jo hans raha hay musalsal wo shakhs jhota hay


Sunday, 3 August 2014

Meri barbadi pay hasnay Walay
Aj do boond ansu baha lay
Uth chala hay Wafa ka janaza
Bewafa tu bhi kandha laga lay


Tuesday, 20 May 2014

Tujhay kia khabar kay teri yaadon nay

Tujhay kia khabar kay teri yaadon nay mujhay kis trah sataya
Kbhi akelay main hansa diya to kbhi mahfilon main rula diya



Tuesday, 13 May 2014

Dard kay badlay har khushi le lo

Dard kay badlay har khushi le lo
Anso kay badlay humari hasi le lo
Hum say deikha na jaye ga kbhi ap ka utra huwa chehra
Agar kam a sakay to hmari zindagi le lo



Wednesday, 7 May 2014

Hum to hanstay hain

Hum to hanstay hain dosron ko hansnay ki khatir Mohsin
Warna dill pay zakham itnay hain kay roya bhi nahi jata


Sunday, 27 April 2014

Sajaaye rakhtay hain chehray pay jo hansi ki kiran

Sajaaye rakhtay hain chehray pay jo hansi ki kiran
Na janay, rooh main kitnay shagaaf rakhtay hain



Wednesday, 23 April 2014

Wo mera ho jo ankhon main haya rakhta ho

Wo mera ho jo ankhon main haya rakhta ho
Umar bhar ka sath chalnay ka Azam-e-Waffa rakhta ho
Naaz us kay na uthaaon to shikayat na kray
Gham sah kar bhi hansnay ki adda rakhta ho


Ye sach hay us nay talluq torra to muskuraton kay sath

Ye sach hay us nay talluq torra to muskuraton kay sath
ye bhi sach hay loog kahtay hain ab wo hansa nahi


Monday, 21 April 2014

Jo us kay chehray pay Rang-e-Haya thahar jaye

Jo us kay chehray pay Rang-e-Haya thahar jaye
To saans, wakt, samandar, hawa thahar jaye
Wo muskuraye to hans hans parain kai mossam
Wo gungunaye to Baad-e-Sabba thahar jaye



Sunday, 20 April 2014

Sunday, 6 April 2014

Ankhoon main ansoo

Ankhoon main ansoo ajate hain 
Phir bhi laboon pr hansi rkhni parrti hay
Ye mohbbat bhi kia cheez hay yaroo
Jissay chahty hain osi se chupani parrti hay


Tuesday, 25 March 2014

Hanstay huway chehron ko ghamon say azaad na samjho

Hanstay huway chehron ko ghamon say azaad na samjho
Hazaron gham chupay hotay hain halki si muskan main



Bhohat nazdeek say faraib day gaya koi

Meray honton ko hansi day kar meray ansuon ko ponch kar
Bhohat nazdeek say faraib day gaya koi


Wednesday, 19 March 2014

Yakeen na aye to ek baar poch kar deikho

Yakeen na aye to ek baar poch kar deikho
Jo hans raha hay wo zakhmon say chor niklay ga



Wednesday, 12 March 2014

Ronay ki saza na rulanay ki saza hay

Ronay ki saza na rulanay ki saza hay
Ye dard mohabbat ko nibhanay ki saza hay
Hastay hain to aankhon say nikal aatay hain ansu
Ye us shaks say dill laganay ki saza hay



Har wakt ka hansna tujhay barbaad na kar day

Har wakt ka hansna tujhay barbaad na kar day 
Tanhai kay lamhon main kbhi ro bhi liya kro