Showing posts with label Mahndi Poetry. Show all posts
Showing posts with label Mahndi Poetry. Show all posts

Sunday, 12 March 2017

Kuch or bhi jazzbon ko

Kuch or bhi jazzbon ko baytaab kia us nay 
Jab mahndi lagay hathon say adaab kia us nay



Thursday, 25 September 2014

Channd masoom say patton ka

Channd masoom say patton ka laho hay bas
Jis ko mahboob kay hathon ki hina kahtay hain




Friday, 1 August 2014

Saturday, 3 May 2014

Phir sajay mehndi kay rang

Phir sajay mehndi kay rang
Phir yaad aye wohi pal jo
Betaye thay kabhi teray sang


Zakham-e-tanhaaii main khushbo-e-Hina kis ki thi

Zakham-e-tanhaaii main khushbo-e-Hina kis ki thi
Sayaa deewaar pay mera tha sadda kis kii thi


Friday, 2 May 2014

Ladki kay haath main Mehndi achi lagti hay

Ladki kay haath main Mehndi achi lagti hay
Ladkon kay haath main mehndi walay haath


Friday, 4 April 2014

Mehndi teray naam ki

Mehndi teray naam ki hathoon par rachayee hay 
Tasveer bhi teri apne dil main basayee hay
Yaad sirf teri he din raat aayee hay 
Pyar hay bas tujhsay yahi sachayee hay
Shary Ismaeel


Tuesday, 25 March 2014

Hina ka rang hon main hath par to aaounga

Hina ka rang hon main hath par to aaounga
Utar gaya to mahak apni chor jaon gaa 
Ghazal ka shair hon dill ki kitaab main likh lo
Bhula diya to kabhi Yaad bhi na aaon gaa


Sunday, 23 March 2014

Teray hathoon ki Hina sadda mahaktti rahay

Teray hathoon ki Hina sadda mahaktti rahay
Tu jahan bhi rahay KHUDA ki panaah main rahay


Saturday, 22 March 2014

Rang-e- Hina or wo mousam nahi miltay

Rang-e- Hina or wo mousam nahi miltay
Chaha tha jinhay aaj wo ahal nahi miltay


Friday, 21 March 2014

Us kay hathon main hina,paaon main Payal hogi

Us kay hathon main hina,paaon main Payal hogi
Aik deewar magar beach main hayal hogi
Us kay jalwoon kay bhohat pass main honga
Lakin wo kisi Or ki taqdeer ka hasil hogi
Surkh kaproon say sajay tar na meray hongay
Us ki ankhoon main meray Piyar ki jhilmil hogi
Jatay jatay wo mujhay piyaar say deikhay gi jab
Rotay roaty wo meri roh main shamil hogi
Mujh say wo door bhohat door chali jaye gi
Ya kahani bhi Sara-e-Bazzam mukammal hogi



Friday, 14 March 2014

Zamanay ki nazar main yeh bas Hussan-e-Hina hay

Zamanay ki nazar main yeh bas Hussan-e-Hina hay
Mere dill say pocho yeh meray mehboob ki mohabbat hay



Thursday, 6 March 2014

Kuch our bhi jazbaton ko baytaab kia us nay

Kuch our bhi jazbaton ko baytaab kia us nay
Aj Mehndi walay hathon say aadaab kia us nay



Monday, 17 February 2014

Main tere hath pay rach jaon rangon ki tarha

Main tere hath pay rach jaon rangon ki tarha
Tu mera naam hathon pay kabhi saja kar to deikh


Wo Mehndi lagay hath dekha kar royi

Wo Mahndi lagay hath dekha kar royi
Main Kisi aur ki hon itna bta kar royi
Umar bhar ki judai ka kayal aya tha shaid usay
Wo mujhay paas apnay dair tak bitha kra royi
Ab kay na sahi zaror hashar main milain gain
Yakjaa honay kay dilasay dila kar royi


Tuesday, 11 February 2014

Mangtay hain log hum say teri muhabbat ka saboot

Mangtay hain log hum say teri muhabbat ka saboot
Meri Mehandi ka lal rang teri chahat ki gawahi deta hay


Saturday, 8 February 2014

Tmhari thi shararat Mahndi say hatheli par naam likhna

Tmhari thi shararat Mahndi say hatheli par naam likhna
Our mujhay russwa kar diya tm nay yunhi khailtay khailtay


Friday, 7 February 2014

Mehndi rachay gi teray haath

Mehndi rachay gi teray haath, dholak bajay gi saari raat
Kangna baahon main jab khankay, kholay bhaid ye teray mann ka 



Friday, 13 December 2013

Saaf inkaar hai aanay ka bahanna kaisa

Saaf inkaar hai aanay ka bahanna kaisa
Rang laaye hain woh Mehndi ka lagana kesa...


Thursday, 5 December 2013

Wo kahta hay kay meray naam ki Mahandi lagaoo

Wo kahta hay kay meray naam ki Mahandi lagaoo
Main kahti hon lagaoun gi agar tum lay kar aye to