Showing posts with label Chaand Poetry. Show all posts
Showing posts with label Chaand Poetry. Show all posts

Friday, 9 June 2017

Pocha jo un say

Pocha jo unn say chaand nikalta ha kis tarah
Zulfon ko rukh pay dal k jhatka diya k yunn..


Sunday, 9 October 2016

Phirtay hain saath saath

Phirtay hain saath saath tamaam raat magar
Log usko chaand or mujhay awaara kahtay hain..


Friday, 2 October 2015

Chaand ko hi deikh kar agar ati ha Eid to
To yaqeen mano main har rooz Eid karta hon


Tuesday, 26 May 2015

Jo fursat milay

Jo fursat milay to chaand say mere dard ki kahani poch lena
Aik wohi to tha humraaz mera teray so janay k baad


Wednesday, 8 October 2014

Dhaanp rahi thi wo khud ko anchal say

Dhaanp rahi thi wo khud ko anchal say baar baar
Bhala raat chupa sakti hay, hussan chaand ka


Tuesday, 7 October 2014

Deikha Eid ka chaand

Deikha Eid ka chaand to mangi ye dua RABB say
Day day tera saath Eid ka tohffa samjh kay



Tuesday, 1 July 2014

Main tujh ko chaand kahon

Main tujh ko chaand kahon, ye mumkin to hay magar
Log tujhay raat bhar deikhain ye gawwara nahi mujhay



Sunday, 15 June 2014

Shaam hotay hi yeh dill udaas hota hay

Shaam hotay hi yeh dill udaas hota hay
Tutay khuwabon kay siwa kuch na pas hota hay
Teri yaad aisay main bhohat ati hay
Chaand jab apnay sitaron kay paas hota hay


Ek chand tanha khara raha

Ek chand tanha khara raha
Meray asmaan say zara paray
Meray sath sath safar main tha
Meri manzilon say zara paray
Teri jusstuju kay hisaar say
Teray khawab teray khayal say
Mein Wo shaks tha jo khara raha
Teri chahaton say zara paray



Wednesday, 4 June 2014

Awaara hay tareek fizzaoun main

Awaara hay tareek fizzaoun main azal say
Ye chaand bhi hum ishq kay maron ki trah hay



Tuesday, 20 May 2014

Uthnay do aj pardon ko zara hum bhi to deikhain

Uthnay do aj pardon ko zara hum bhi to deikhain
Kon saa chaand chupa hay es naqaab kay pichay



Thursday, 27 March 2014

Meri band ankhoin ka sacha khwuab ho tum

Meri band ankhoin ka sacha khwuab ho tum
Meri tanhaiyon Kay sawalon ka jawab ho tum
Ab to duniya bhi roth jaye to gum na hoga
Meri duniya, kayinaat mera Chaand ho tum


Chaand say dosti

Chaand say dosti, raat bhar jagna asmaan par kisi akks ko dhondna
Din main bhi raat ka samma bandhna, apna hay in dino bas yahi mushghala