Showing posts with label Shokh Poetry. Show all posts
Showing posts with label Shokh Poetry. Show all posts

Tuesday, 26 August 2014

Kis qadar masoom

Kis qadar masoom, kitni shokh, lakin bay waffa
Hum nay pocha kon, wo ghabra kay bolay zindagi


Friday, 15 August 2014

Wohi kajal surmay wali ankh

Wohi kajal surmay wali ankh
Wohi gehri kali kali ankh
Janay kiun sehra lagti hay
Wo dard bhari matwali ankh
Surmay main gazzab ki shoukhi thi
Kajal ki dhaar anoukhi thi
Allah! kitna tarsaati thi
Wo har dam jhuknay wali ankh
Us shakhs pay jab wo marti thi
Kehnay say phir kiun darti thi



Tuesday, 3 June 2014

Kabhi shokh hain

Kabhi shokh hain, kabhi gum si hain
Ye barishain bhi,  tum si hain


Saturday, 31 May 2014

Ek larki sunddar komal si

Ek larki sunddar komal si
Jo khud ko barish kahti hay
Har mossam us ka mosam hay 
Wo mujh pay barsaa karti hay


Monday, 5 May 2014

Sunday, 20 April 2014

Hum nay deikha tha faqat shokh nazar ki khatir

Hum nay deikha tha faqat shokh nazar ki khatir
Ye na socha tha kay tm dill main utar jao gay