Showing posts with label Hindi Poetry. Show all posts
Showing posts with label Hindi Poetry. Show all posts

Saturday, 12 July 2014

Teray piyar main dard itna kiun hay

Teray piyar main dard itna kiun hay
Ye gehra ishq ka marj itna kiun hay
Jab mili thi pehli baar piyar bhohat tha tujhay
Aj dekhnay kay tere andaaj main fark itna kiun hay



Tuesday, 8 July 2014

Apnay ghamon ki numaish na kar

Apnay ghamon ki numaish na kar
Apnay naseeb ki yun azmaish na kar
Jo tera hay wo tere darr pay aye ga zaror
Rooz rooz usay panay ki khuahish na kar


Har jakham kisi thokar ki meharbani hay

Har jakham kisi thokar ki meharbani hay
Meri jindagi bas ek kahani hay
Mita detay sannam kay dard ko seenay say
Par ye dard hi uski aakhri nishani hay


Meri zeesst ka hay ye qissa purana

Meri zeesst ka hay ye qissa purana
Tumhain yaad karna, nahi bhool pana
Meray paas a kay tera muskurana
Nazar say guzar kar, jigar main samanna
Ye ghazlain, kitabain, ye yaron ki mehfil
Tujhay bhool panay ka hain ik bahana
Na sun na kabhi bhi mere dil ke nalay
Akelay main meri ghazal gungunana
Muhabbat ki khatir, zamanay say larna
Zamanay ki khatir, muhabbat bhulana


Friday, 27 June 2014

Mohabbat har Insaan ko ajmati hay

Mohabbat har Insaan ko ajmati hay
Kisi say roth jati hay kisi pay muskurati hay
Mohabat khail hi aisa hay
Kisi ka kuch nahi jata or kisi ki jaan hi chali jati hay


Wednesday, 18 June 2014

Bhoolain gay humay to kuch na hum kahain gay

Bhoolain gay humay to kuch na hum kahain gay
Hoga dill main dard to chup chaap hum sahain gay
Agar bhool kay humain khush hay wo
To bhool jaye humain yeh dua hum krain gay


Sunday, 15 June 2014

Chalakta hay saggar piyaar ka ankhon say

Chalakta hay saggar piyaar ka ankhon say
Dill hamara khushi say ubharta hay
Na Jaanay kiya baat hoti hay piyaar main
Hota Hay dill main dard or ankhon main eshara hota hay