Showing posts with label Two Line Poetry. Show all posts
Showing posts with label Two Line Poetry. Show all posts

Tuesday, 27 June 2017

Chaand Eid ka

Chaand Eid ka dilkash hay, jaanta hon
Hussan-e-janaan say magar haar jaye ga....


Tum nay pocha tha

Tum nay pocha tha kaisi hon main
Tumhari mohabbat main pagal, bas aisi hon main


Abhi "ayian" likhon

Abhi "ayian" likhon tu sochay mujhay
Phir "sheen" likhon teri neend urray
Jab "qaaf" likhon tujhay kuch kuch ho
Main "ishq" likhon tujhay ho jaaye....


Kuch na tha

Kuch na tha meray paas khonay ko
Tu mila hay, tu dar gaya hoon main..




Friday, 16 June 2017

Hum nay to bas kaliyan

Hum nay to bas kaliyan mangi thi kanton ka haar mila
Janay wo kaisy log thay jin k piyar ko piyar mila....


Friday, 9 June 2017

Chupa k rukh apna

Chupa k rukh apna parday main us zalim nay
Tajjassuss ko mereay or barha diya hay..



Ajeeb shakhs hay

Ajeeb shakhs hay mujh say guraiz paa bhi hay
Nazar na aaon tu..phir mujh ko dhondhta bhi hay


Bay rukhi k sath

Bay rukhi k sath sunna dard-e-dil ki daastan
Wo kalaai main tera...kangan ghumana yaad hay


Us nay saja k chehray par

Us nay saja k chehray par itne hazar rang
Qoos-e-qazza ko daal diya ha azaab main


Tera pahlo tere dil ki trah

Tera pahlo tere dil ki trah abaad rehay
Tujh pay guzray na qayyamat shab-e-tanhai ki..


Uski masomiyat main



Uski masomiyat main itna assar tha
Kharid li us nay aik muskan main zindagi hmari


Kaheen cheeni hogi

Kaheen cheeni hogi kisi say tu hansi tu nay
Warna musalsal muskurana kisay naseeb hota hay


Pocha jo un say

Pocha jo unn say chaand nikalta ha kis tarah
Zulfon ko rukh pay dal k jhatka diya k yunn..


Nahi hoga mere baad

Nahi hoga mere baad kahin bhi guzara unka
Milenge wo sab se meri hi talaash main


Mujhay azmati hay

Mujhay azmati hay teri kammi
Meri har kammi ko ha tu laazmi..



Nighahain bolti hain

Nighahain bolti hain bay tahasha
Mohabat paaglon ki gufftugo hay