Showing posts with label Gham Poetry. Show all posts
Showing posts with label Gham Poetry. Show all posts

Thursday, 4 September 2014

Aaj bhi bhohat sawal hain

Aaj bhi bhohat sawal hain es dil main
Piyar ka gham bayzubaan hay es dil main
Kuch kah nahi paata yeh dil magar
Us dil kay liye aj bhi piyar hay es dil main



Tuesday, 26 August 2014

Chupa raha hay kisi karb ko

Chupa raha hay kisi karb ko kisi gham ko
Jo hans raha hay musalsal wo shakhs jhota hay


Sun kar tamaam raat

Sun kar tamaam raat meri Dastan-e-Gham
Wo muskura kay bolay bhohat boltay ho tum




Tuesday, 8 July 2014

Apnay ghamon ki numaish na kar

Apnay ghamon ki numaish na kar
Apnay naseeb ki yun azmaish na kar
Jo tera hay wo tere darr pay aye ga zaror
Rooz rooz usay panay ki khuahish na kar


Saturday, 28 June 2014

Toota hay dill to dukh hota hay

Toota hay dill to dukh hota hay
Kar kay mohabbat kisi say ye dil rota hay
Dard ka ahsaas to tab hota hay
Jab jis say mohabbat ho us ke dil main koi or hota hay


Monday, 23 June 2014

Zindagi ka raaz tanhaayi mein paa liya

Zindagi ka raaz tanhaayi mein paa liya
Jis ka gham mila apna banna liya
Humara gham sunnay ko jab koi na mila
Saamnay rakha aayina aur khud ko suna diya 


Tuesday, 10 June 2014

Kabhi jo badal barsay

Kabhi jo badal barsay,main deikhon tujhay ankhain bhar kay
Tu lagay mujhay pehli barish ki dua
Teray pehlo main rah lon, main khud ko pagal kah lon
Tu gham day ya khushian sah lon saathiya


Sunday, 1 June 2014

Gham ki barish nay teray naqsh ko

Gham ki barish nay teray naqsh ko dhoya nahi 
Tu nay mujhay kho diya may nay tujhay khoya nahi


Thursday, 29 May 2014

Ujala ban kay a jao meray tareek lamhoon main

Ujala ban kay a jao meray tareek lamhoon main
kay teray bin sabhi khushiyan mujhay ghamgeen lagti hain


Sunday, 11 May 2014

Dill na omeed to nahi, nakaam hi to hay

Dill na omeed to nahi, nakaam hi to hay
Lambi hay gham ki shaam, lakin shaam hi to hay


Thursday, 8 May 2014

Teri yaad a gai gham khushi main dhal gaye

Teri yaad a gai gham khushi main dhal gaye
Ek charaagh kia jala so charaagh jal gaye


Thursday, 1 May 2014

Maang liye hain teri zindagi kay

Maang liye hain teri zindagi kay sabhi dukh ye kah kar
Ya RABB wo bhohat masoom hay us ki hifazzat karna



Wednesday, 23 April 2014

Apnay dukh ko apnay andar rakh kar bhool jati hain

Apnay dukh ko apnay andar rakh kar bhool jati hain
Bahir say chamaktti hain chorriaan bhi larkian bhi



Wo mera ho jo ankhon main haya rakhta ho

Wo mera ho jo ankhon main haya rakhta ho
Umar bhar ka sath chalnay ka Azam-e-Waffa rakhta ho
Naaz us kay na uthaaon to shikayat na kray
Gham sah kar bhi hansnay ki adda rakhta ho


Tuesday, 22 April 2014

Es qaddar hajoom ho teri zindagi main khushion ka

Es qaddar hajoom ho teri zindagi main khushion ka
Kay gham bhi agar guzarna chahay to usay raasta na milay


Sunday, 20 April 2014

Zabt lazzim hay magar dukh hay to qayamat ka faraz

Zabt lazzim hay magar dukh hay to qayamat ka faraz
Zalim ab kay bhi na roye ga to mar jaye ga



Thursday, 27 March 2014

Gham-e-Zindagi

Gham-e-Zindagi, gham-e-banddagi, gham-e-do jahan, gham-e-karvaan
Meri har nazar teri muntazir, teri har nazar mera imtihaan


Tuesday, 25 March 2014

Hanstay huway chehron ko ghamon say azaad na samjho

Hanstay huway chehron ko ghamon say azaad na samjho
Hazaron gham chupay hotay hain halki si muskan main



Saturday, 1 March 2014

Wo bari hairani say poch baithi meray gham ki waja

Wo bari hairani say poch baithi meray gham ki waja
Phir halki si muskurai or kaha mujh say mohabbat ki thi na 



Sunday, 16 February 2014

Dunia bhi mili hay, Gham-e-Dunia bhi mila hay

Dunia bhi mili hay, Gham-e-Dunia bhi mila hay
Wo kiun nahi milta jisay manga tha KHUDA say