Showing posts with label Khona Poetry. Show all posts
Showing posts with label Khona Poetry. Show all posts

Thursday, 4 September 2014

Kal tak tha ahsaas kisi kay honay ka

Kal tak tha ahsaas kisi kay honay ka
Aj hay sirf dard us ko khonay ka
Hum dono ka nahi tha qasoor es main
Taqdeer ka faisla tha juda honay ka


Saturday, 28 June 2014

Toota hay dill to dukh hota hay

Toota hay dill to dukh hota hay
Kar kay mohabbat kisi say ye dil rota hay
Dard ka ahsaas to tab hota hay
Jab jis say mohabbat ho us ke dil main koi or hota hay


Sunday, 15 June 2014

Friday, 6 June 2014

Nahi hay hosla mujh main

Nahi hay hosla mujh main tumhay khonay ka par sun lo
Ye dunia mujh ko kho day gi agar tum kho gaye mujh say



Sunday, 1 June 2014

Ye bhi acha huwa shaid,

Ye bhi acha huwa shaid, kay usay paa na sakay hum
Hamara ho kay agar bicharrta to qayamat hoti




Gham ki barish nay teray naqsh ko

Gham ki barish nay teray naqsh ko dhoya nahi 
Tu nay mujhay kho diya may nay tujhay khoya nahi


Friday, 23 May 2014

Tumhara naam lenay say

Tumhara naam lenay say mujhay sab jaan jatay hain
Main wo khoyi hoi cheez hon jis ka pata tum ho


Khawab dar khawab dhoondti hay nazar

Khawab dar khawab dhoondti hay nazar
Kia tujhay such main kho diya may nay


Saturday, 3 May 2014

Jis din say khoya hay tujhay

Jis din say khoya hay tujhay
Apni har Dua bay asar lagany lagi


Tuesday, 25 March 2014

Aye phir na loat kar jo deewanay ho gaye

Humsafar bhi bichar gaye raastay bhi kho gaye
Aye phir na loat kar jo deewanay ho gaye