Thursday 21 November 2013

Jis azziyat say dil guzarta hay

Jis azziyat say dil guzarta hay
Sochta hon wo shakhs na guzray
Us ko har dard say bacha lon main
Apnay dil main kahin chupa lon main
Werna chup main balla ki wahshat hay
Khamoshi dard hay azziyat hay
Khamoshi dill pay war karti hay
Rooh-- ko tar tar karti hay
Dill main chup Dukh chupaye phirta hon 
Khud say nazrain churaye phirta hon
Aisay hi din say raat karta hon
Khud say kab koi baat karta hon
Par kbhi jab wo chup rahti hay
Toot jata hon baat karta hon 
Warna aisa hay rooz jeeta hon
Werna aisa hay rooz marta hon 

For you Shary...



No comments: