Friday 27 December 2013

Safar par sath chali thi jo Rehbaron ki tarah

Safar par sath chali thi jo Rehbaron ki tarah
Juda huwy wo bhi akhir Musafiron ki tarah
Main sochta hon wo kaise bichar gayi mujhsay
Jo dhoop main milti thi mujhay Baadalon ki tarah
Ajeeb Larki thi hawaaon say Dushmani lay kar
Woh rait par likhti thi mera naam Paaglon ki tarah
Wo Chahaton ki mukammal Kitaab thi Yaaro
Mujhay Fasana sunati thi Shaairon ki tarah



No comments: