Showing posts with label Garoor Poetry. Show all posts
Showing posts with label Garoor Poetry. Show all posts

Monday 3 October 2016

Ishq ka apna gharoor

Ishq ka apna gharoor hussan ki apni Anna
Un say aya na gaya hum say bhulaya na gaya....


Friday 5 June 2015

Maghroor humay kahti hay

Maghroor humay kahti hay to kahti rehay Dunia
Hum murr kay kisi shakhs ko deikha nahi kartay



Wednesday 16 July 2014

Kabhi sath denay k waday

Kabhi sath denay k waday, kabhi bhool janay ki qasmain
Mujhay aj tak pata na chala K tu majboor hay ya maghror


Thursday 26 June 2014

Tamaam umar esi baat ka gharoor raha mujhay

Tamaam umar esi baat ka gharoor raha mujhay
Kisi nay mujh say kaha tha kay hum tumharay hain



Saturday 14 June 2014

Rothi thi jis gharoor say

Rothi thi jis gharoor say wo bhi to yaad kar
Ankhon main teri aj ye anso fazool hain



Wednesday 28 May 2014

Maghroor humay kahti hay

Maghroor humay kahti hay to kahti rehay dunia
Hum morr kar kisi shakhs ko deikha nahi kartay


Sunday 25 May 2014

Wohi sochain wohi batain wohi andaaz ab bhi hay

Wohi sochain wohi batain wohi andaaz ab bhi hay
Boht baychain lagtay ho koi to raaz ab bhi hay
Main kaisay uski yaadon or waadon say nigah phairon
Wo mujh say dor rehnay wala mera hamraaz ab bhi hay
Ye tum ho jo is taalluq par pareshaan ho
Magar is baylous rishtay pay mujhay to naaz ab bhi hay



Tuesday 13 May 2014

Bakhshah hay husan us ko

Bakhshah hay  husan us ko, hmari nigah nay
Hum hi laye hain Usay,Hadd-e-Gharoor tak


Monday 12 May 2014

Ek haseen larki ki chahat nay

Ek haseen larki ki chahat nay
Mujhay apna aap bhula diya
Kiya jab ezhaar-e-ishaq unhon nay
May nay hosh apna ganwwa diya
Ye soch kar he maghroor ho jata hon ahsan
Kay main nay tujhay apna bana liya


Tery gharoor ko deikh k

Tery gharoor ko deikh k teri tamanna bhi chor di hum nay
Zara hum bhi to deikhain k kon chahta hay tujhay hamari tarha


Friday 9 May 2014

Achay lagay jo tum so hum nay bata diya

Achay lagay jo tum so hum nay bata diya
Nuqsaan ye huwa kay tum maghroor ho gaye


Friday 4 April 2014

Sunday 16 March 2014

Friday 14 March 2014

Gharoor to nahi kartay

Gharoor to nahi kartay lekin itna 'Yaqeen' zaroor hay
Agar "Yaad" nahi karo gay to bhula bhi nahi pao gay

                              


Sunday 9 March 2014

Meri rooh jaisay kuchal gaya

Meri rooh jaisay kuchal gaya
Koi shaks aisay baddal gaya
Ye kis ka Harf-e- dua raha
Kay main girtay girtay sambhal gaya
Teri yaad jab aanay lagi
Mera dard jaisay behal gaya
Meri qismaton ka qaafla
Kisi aur janib nikal gaya
Tumhain deikhtay hain baysabbab
Koi khawab mera machal gaya
Mera patharon sa garoor tha
Magar teray agay pighal gaya


Kasoor un ka bhi is main koi nahi hay Qaisar

Kasoor un ka bhi is main koi nahi hay Qaisar
Unhain chahat hi itni mili k gharoor aa gaya


Thursday 6 March 2014

Chand ko Garoor hay kiun kay us kay pass noor hay

Chand ko Garoor hay kiun kay us kay pass noor hay
Main kiun Garoor karon mera chand toh door hay