Showing posts with label Shaadi Poetry. Show all posts
Showing posts with label Shaadi Poetry. Show all posts

Friday 4 April 2014

Mehndi teray naam ki

Mehndi teray naam ki hathoon par rachayee hay 
Tasveer bhi teri apne dil main basayee hay
Yaad sirf teri he din raat aayee hay 
Pyar hay bas tujhsay yahi sachayee hay
Shary Ismaeel


Wednesday 5 February 2014

Tujhko dais piya ka bhaye

Tujhko dais piya ka bhaye, tera piya tere gunn gaye
Aye khushiyon ki baraat, lakay rangon ki barsaat


Monday 3 February 2014

Mujh say milna teri hi qismat main tha shayad

Mujh say milna teri hi qismat main tha shayad 
Itni haseen meray hathon ki lakirain to nahi





Tuesday 7 January 2014

Woh jeewan kaisa jeewan

Woh jeevan kaisa jeevan, jis main koi piyar na ho
Kisi say milnay ki ass na ho,kisi ka tujay intizar na ho


Wednesday 1 January 2014

Dill ki batein btana acha lagta hay

Dill ki batein btana acha lagta hay
Phone par gup shup lagana acha lagta hay
Shadi say pehlay dill main bajtay hain Sangeet
Bad main to bas Qumi Trana acha lagta hay


Sunday 15 December 2013

Pyar do dilun ka milan toh hai

Pyar do dilun ka milan toh hai
Badalta iss mein chalan toh hai
Dheere dheere duriyan gathti hain
Ik sajni bane duja sajan toh hai
Par pyar zinda tabi rehta hain
Jab kashish rahe aur janoon na mare


Tuesday 10 December 2013

Shaadi ka wada kia Parveen say

Shaadi ka wada kia Parveen say
Warna muhabbat to thi Maheen say
Anjanay main sab kahdia Mahreen say
Kia haal huwa tha pocho Samreen say
Ab ummeed hay sirf Noreen say
Lekin bat banegi Narmeen say
Ya phir dekho Ambreen say
Nahi to shayad Nosheen say
Or hosakta hay K Naveen say
Warna setting to hay Sabeen say


Monday 9 December 2013

Ye piyara sa jo rishta hay

Ye piyara sa jo rishta hay
Kuch mera hay, kuch tera hay
Kahin likha nahi, kahin parha nahi
Kahin deikha nahi, kahin suna nahi
Phir bhi jana pahchana hay
Kuch mera hay, kuch tera hay
Kuch masoom sa, kuch albela
Kuch apna, kuch begana
Kuch chanchal sa, kuch sharmila
Kuch shokh sa, kuch sanjida
Kuch uljha huwa, kuch suljha huwa
Kuch Masti bhara, kuch khafa khafa
Kuch mera hay, kuch tera hay
Ye piyara sa jo Rishta hay


Thursday 14 November 2013

Shadi hay khushi ka geet

Shadi hay khushi ka geet
Dhola dholhan k piyar ka sangeet
Ye lamha lakar ata hay har pal khushi ka
Zindagi bhar k liye wo ban jatay hain manmeet


Wednesday 13 November 2013

Ek aur raat chali gayi zindagi say

Ek aur raat chali gayi zindagi say
Ek aur din a gaya hay zindagi main
Ye mat socho k kitnay Lamhay hain zindagi main
Ye socho k kitni Zindagi hay in lamho main...





Wednesday 6 November 2013

Haath main haath un kay yun aaya

Haath main haath un kay yun aaya
Zindagi meray haath lag gai ho jaisay...


Monday 30 September 2013

Loo Kisi oor k huway hum bhi

Loo Kisi oor k huway hum bhi
Aaj us ka gharoor tootay gaa


Saturday 28 September 2013

Kbhi na hathon say hath choote khayal rakhna

Kbhi na hathon say hath choote khayal rakhna
Kabhi na chahat ka maan toote khayal rakhna
Bachaa kay rakhna mohabat ko sazishon se
Waffa ki dollat jafa na loote khayal rakhna
Jo ho mohabat to ranjishon se guraez karna
Kisi ka nazuk sa dil na toote khayal rakhna...