Showing posts with label Zulfain Poetry. Show all posts
Showing posts with label Zulfain Poetry. Show all posts

Friday 9 June 2017

Pocha jo un say

Pocha jo unn say chaand nikalta ha kis tarah
Zulfon ko rukh pay dal k jhatka diya k yunn..


Thursday 2 October 2014

Muje bikhra hi rahnay do

Muje bikhra hi rahnay do meray muqqadar ki trah
Main koi teri zulf tu nahi jo sanwwar jaon ga



Saturday 9 August 2014

Teri ankhon ka ye kajal bara anmol lagta hay

Teri ankhon ka ye kajal bara anmol lagta hay
Teri zulfon ka ye badal bara anmol lagta hay
Bara masoom sa hay ye tere chehray ka bhola pann
Tera wo shok chanchal dil bara anmol lagta hay


Thursday 29 May 2014

Rukh say hata kay zulfain

Rukh say hata kay zulfain ankhain utha kay bolay
Deikho hamaray jalway ab zara shaiyri karo


Sunday 25 May 2014

Andaaz apna deikhtay hain aayinay main wo

Andaaz apna deikhtay hain aayinay main wo
Zulfain sanwaar kay kbhi zulfain bakhair kay


Sunday 18 May 2014

Bikhri hoi zulf eshaaron main kah gai

Bikhri hoi zulf eshaaron main kah gai
Main bhi shareek hon teray Haal-e-Tabah main


Friday 2 May 2014

Rukh-e-Yaar par zulfain

Rukh-e-Yaar par zulfain yun bikhar rahi hain jaisay
Kabhi din nikal raha hay, kabhi raat ho rahi hay



Sunday 20 April 2014

Ye laali, Ye Kajal our Zulfain bhi khuli khuli

Ye laali, ye kajal our zulfain bhi khuli khuli
Tum yonhi jaan mang letay, itna ehtamaam kiun kiya


Monday 24 February 2014

Ankhain, zulfain, jhumkay, chahra, kangan,Bindiya

Ankhain, zulfain, jhumkay, chehra, kangan, Bindiya
Haye dill haar gaye, hum tujhay bay naqaab deikh kar