Showing posts with label Islamic Poetry. Show all posts
Showing posts with label Islamic Poetry. Show all posts

Thursday 21 May 2015

Button say pardah

Button say pardah uthanay ki bahas hay baykaar
Khuli daleel hay Kaaba bhi bay naqaab nahi



Itna ghafil to andhion say

Itna ghafil to andhion say koi ragistaan bhi na hoga
Jitna ghafil aj ka insaan apnay Rabb ki yaad say hay



Tuesday 8 July 2014

Jis khuab main ho jaye deedar-e-Nabi(SAW) hasil

Jis khuab main ho jaye deedar-e-Nabi(SAW) hasil
Aye ishq kbhi hum ko bhi wo neend sula day (AMEEN)


Bay zabaanon ko jab WO zabaan deta hay

Bay zabaanon ko jab WO zabaan deta hay
Parhnay ko WO Quraan deta hay
Bakhshnay pay aye jab ummatt kay gunahon ko
To tohfay main gunnah garoon ko Ramzan deta hay



Friday 4 July 2014

Tappash hay ye apnay gunnahon ki yaroo

Tappash hay ye apnay gunnahon ki yaroo
Meray shahar ka muasam khushgawar nahi hota
Din bhar kar kay naffratain insaan say
Kahtay hain raazi PARWARDIGAAR nahi hota



Thursday 3 July 2014

US kay darr pay sukoon milta hay

US kay darr pay sukoon milta hay
US ki ebaddat say noor milta hay
Jo jhuk gaya ALLAH kay sajday main
Usay dill ka sukoon zaror milta hay


Mitt jaye gunnahon ka tassawar

Mitt jaye gunnahon ka tassawar hi jahan say IQBAL
Agar ho jaye yaqqeen kay KHUDA deikh raha hay


Tuesday 1 July 2014

Ek deewar pay likha may nay Essm-Muhammad (SAW)

Ek deewar pay likha may nay Essm-Muhammad (SAW)
Ab tak ujaalon ka baseraa hay meray ghar



Itna ghafil to andhioun say koi ragistaan bhi na hoga

Itna ghafil to andhioun say koi ragistaan bhi na hoga
Jitna ghafil aj ka insaan apnay RABB ki yaad say hay



Main faqat khaak hon magar Muhammad(SAW) say hay nisbat meri

Main faqat khaak hon magar Muhammad(SAW) say hay nisbat meri
Ye aik rishtaa hay jo meri oqaat badal deta hay



Phir say niklain gain talash-banddagi main roza daar ban kar

Phir say niklain gain talash-banddagi main roza daar ban kar
Dua hay ess baar hamay Razaaye-ELAAHI mil jaye


Monday 30 June 2014

Friday 13 June 2014

Quatt-e-Ishq say har passt ko baala kar day

Quatt-e-Ishq say har passt ko baala kar day
Dohar main Essm-e-Muhammad say ujala kar day
Shab-e-Baraat Mubarak To All


Friday 9 May 2014

KHUDA karay kay meri Arz-e-Paak par utray

KHUDA karay kay meri Arz-e-Paak par utray
Wo Fasal-e-Gull jisay Andesha-e-Zawwal na ho


Monday 13 January 2014

Sunday 5 January 2014

Hum rooz gunah kartay hain

Hum rooz gunah kartay hain,Wo chupata hay apni Rahmat say
Hum majboor apni addat say, Wo mashhoor apni Rahmat say


Sirf Ahsaas-e-Nadamat ek Sajda or chasham-e-tarr

Sirf Ahsaas-e-Nadamat ek Sajda or chasham-e-tarr
Aye KHUDA kitna asaan hay manana tujh ko


Koi Jannat ka talib hay,koi ghum say pareshan

Koi Jannat ka talib hay,koi ghum say pareshan
Gharz sajda krwati hay,Ebaddat kon karta hay