Showing posts with label Saya Poetry. Show all posts
Showing posts with label Saya Poetry. Show all posts

Monday 22 June 2015

Tujhay piyar karte karte

Tujhay piyar karte karte yunhi umar beet jaye
Karon jo main bewafai mujhay mout bhi na aaye
Jo aitbaar ho to tum say yahi kahain gain
Tere dil main ghar bana kar teri bahon main rahe gain
Tumhe is kaddar main chahu jitna koi na chahay
Tumse shuro hoi hain mere piyar ki kahani
Tum pay nisaar kar don main apni Zindgani
Mera humsafar banay gain teri chahaton k Saaye
Tujhe piyar karte yarte yuhi umar beet jaye
Karu jo main bewafai mujhe mout bhi na aaye



Friday 9 May 2014

Sochti hon, kay bujha don main ye kamray ka diya

Sochti hon, kay bujha don main ye kamray ka diya
Apnay saaye ko bhi kiun jagaoun? sath apnay


Saturday 3 May 2014

Zakham-e-tanhaaii main khushbo-e-Hina kis ki thi

Zakham-e-tanhaaii main khushbo-e-Hina kis ki thi
Sayaa deewaar pay mera tha sadda kis kii thi


Friday 4 April 2014

Jab bhi tanhai ka ahsaas, hadd say barh jata hay

Jab bhi tanhai ka ahsaas, hadd say barh jata hay
Main apnay saaye ko hi apnay pahlo main beitha leta hon


Wednesday 2 April 2014

Jis simtt bhi deikhon nazar ata hay kay tum ho

Jis simtt bhi deikhon nazar ata hay kay tum ho
Aye jan-e-jahan ye koi tum sa hay kay tum ho
Ye khuab hay khushbo hay kay jhonka hay kay pall hay
Ye dhundh hay baddal hay kay saya hay kay tum ho



Thursday 27 March 2014

Saaye ki trah mitt ti jati hay

Saaye ki trah mitt ti jati hay
Teri nafrat, meri mohabbat bhi
Ab to kuch bhi nahi raha dill main
Pehlay afsos bhi tha, hairat bhi