Showing posts with label Fasana Poetry. Show all posts
Showing posts with label Fasana Poetry. Show all posts

Thursday 21 May 2015

Warq Warq par teri ibaddat

Warq Warq par teri ibaddat, tera fasanna,teri hikayyat
Kitab-e-Ishq jahan say kholi teri mohabbat ka baab nikla


Saturday 24 May 2014

Tumhara zikkar jahan tak hay

Tumhara zikkar jahan tak hay wo haqiqat hay
Phir us kay baad hum nay jo bhi kaha, fasana hay


Friday 23 May 2014

Un k Andaz-e-Karam,us pay wo ana dil ka

Un k Andaz-e-Karam,us pay wo ana dil ka
Haye wo waqt, wo batain, wo zamana dil ka
Na suna usnay tawajjo say fasana dil ka
Umar guzri par dard na jana dill ka
Dill lagi, dill ki lagi ban k mita deti ha
Rog dushman ko bi ya RAB na lagana dill ka
Wo bi apne na howy dil bi gaya hathon say
Asay apnay say to behtar tha na aana dil ka
Unki mehfil main "Parveen" un k tabassum ki Qasam
Hum dekhtay rah gaye hath say jana dil ka