Showing posts with label Intizar Poetry. Show all posts
Showing posts with label Intizar Poetry. Show all posts

Tuesday 26 May 2015

Itnay dinn ab Eid ka intezar

Itnay dinn ab Eid ka intezar kon karay
Galay lag jao na ab kisi bahanay say



Friday 15 August 2014

Baithay hain rahguzar pay

Baithay hain rahguzar pay dill ka diya jalaye 
Shaid wo dard samjhay shaid wo loat aye 


Friday 8 August 2014

Ye kaisi mulaqaat hay main kis khumaar main hon

Ye kaisi mulaqaat hay main kis khumaar main hon
Wo a kay ja chuka hay main intizar main hoon


Sunday 22 June 2014

Saturday 31 May 2014

Ajnabi rahna par kissi ka intizzar mat karna

Ajnabi rahna par kissi ka intizzar mat karna
Kisi kay piyar kay liye khud ko bayqaraar mat krna
Acha sathi mil jaye to hath thaam lena
Par deikhaway kay liye kisi say piyaar mat karna


Wednesday 28 May 2014

Ankhon main basi hay piyaari soorat teri

Ankhon main basi hay piyaari soorat teri
Our dill main basa hay tera piyaar
Chahay tu kabool karay ya na karay
Humay rehay ga tera intizaar


Friday 23 May 2014

Intizar bhi kisi ka kitna zaalim hota ha tanha

Intizar bhi kisi ka kitna zaalim hota ha tanha
Jagaaye to sari raat, rulaaye to saari umer


Tuesday 13 May 2014

Teri yaad ka diya

Teri yaad ka diya abhi tak meray dill main roshan hay suno
Madham hony say pehly meri ankhain baynor hony pehly tum loat ao


Wednesday 7 May 2014

Jaisi hay teri tamanna waisay piyaar krain gain

Jaisi hay teri tamanna waisay piyaar krain gain
Har dhadkan par apni wafa ka Ikraar krain gain
Jaha bhi jao gay har qaddam humay hi pao gay
Ishq kay har morr par tera intezaar krain gain



Sunday 6 April 2014

Aj bhi us ka intizaar

Aj bhi us ka intizaar kartay kartay din guzar gaye
Anna parast log hain, marzi say yaad kartay hain


Tuesday 25 March 2014

Wo anna parast sahi uski baton main ikrar bhi tha

Wo anna parast sahi uski baton main iqraar bhi tha
Uskay chubhtay huway lahjay main chupa piyar bhi tha
Wo mujhay likhta hay k muntazir na rahon lekin
Us ki tehreer main sadiyon ka intizar bhi tha
Wo kehta hay mat rutho kay mananna nahi ata
Meri narazgi pay lekin wo bay qaraar bhi tha


Monday 10 March 2014

Mohabbat ka matlab intzaar nahi hota

Mohabbat ka matlab intzaar nahi hota
Har kisi ko deikhna piyaar nahi hota


Wednesday 19 February 2014

Ankhain rehain gi sham-o-saher muntazir teri

Ankhain rehain gi sham-o-saher muntazir teri
Ankhon ko soonp dain gain tera Intizaar hum


Tuesday 11 February 2014

Milay gi hum ko bhi apnay naseeb ki khushiaan

Milay gi hum ko bhi apnay naseeb ki khushiaan
Bas Intizar rehay kab ye kamaal hona hay



Tuesday 4 February 2014

Intzar ki arzo ab kho gayi hay

Intzar ki arzo ab kho gayi hay
Khamoshiyun ki addat ho gayi hay
Na shikwa raha na shikayt kisi say
Agar hai to ek mohbbat,jo in tanhayion say ho gai hay


Monday 3 February 2014

Meri sans sans meray Yaar kay liye hay

Meri sans sans meray Yaar kay liye hay
Ab waja na koi Intzaar kay liye hay


Thursday 9 January 2014

Us ki justuju

Us ki justuju, us ka Intizaar our akela pann
Thak kar muskura deta hon jab roya nahi jata



Tuesday 7 January 2014

Woh jeewan kaisa jeewan

Woh jeevan kaisa jeevan, jis main koi piyar na ho
Kisi say milnay ki ass na ho,kisi ka tujay intizar na ho


Friday 3 January 2014

Yun hi Omeed dilatay hain zamanay walay

Yun hi Omeed dilatay hain zamanay walay
Kab loat kar atay hain janay walay