Showing posts with label Chehra Poetry. Show all posts
Showing posts with label Chehra Poetry. Show all posts

Friday 9 June 2017

Chupa k rukh apna

Chupa k rukh apna parday main us zalim nay
Tajjassuss ko mereay or barha diya hay..



Us nay saja k chehray par

Us nay saja k chehray par itne hazar rang
Qoos-e-qazza ko daal diya ha azaab main


Tuesday 7 July 2015

Har shaks say ulfat ka

Har shaks say ulfat ka iqraar nahi hota
Har chehray se kabhi dil ko pyar nahi hota
Jo rooh ko choo jaye, jo dil mai utar jaye 
Us ishq ka lafzo main kabhi izhaar nahi hota


Friday 19 September 2014

Chehray ka nisf hissa

Chehray ka nisf hissa zair-e-naqaab kar kay
Hussan walay kartay hain deedar main milawat



Saturday 9 August 2014

Teri ankhon ka ye kajal bara anmol lagta hay

Teri ankhon ka ye kajal bara anmol lagta hay
Teri zulfon ka ye badal bara anmol lagta hay
Bara masoom sa hay ye tere chehray ka bhola pann
Tera wo shok chanchal dil bara anmol lagta hay


Sunday 22 June 2014

Wo naqab kr k chehray par

Wo naqab kr k chehray par khud ko ishq say mehfoz samjhty rehay 
Nadan itna bi ni samjhay k ishq chehray say ni nazron say shuro hota hy



Saturday 17 May 2014

Kitni saji hay baywafai teray masoom chehray par

Kitni saji hay baywafai teray masoom chehray par
Hum bhi pagal thay kay es adda pay mar gaye


Tuesday 13 May 2014

Dard kay badlay har khushi le lo

Dard kay badlay har khushi le lo
Anso kay badlay humari hasi le lo
Hum say deikha na jaye ga kbhi ap ka utra huwa chehra
Agar kam a sakay to hmari zindagi le lo



Friday 2 May 2014

Koi chehray ka deewana hay

Koi chehray ka deewana hay, koi ekhlaaq ka taalib
Addain picha karwati hain, mohabbat kon karta hay



Sunday 27 April 2014

Sajaaye rakhtay hain chehray pay jo hansi ki kiran

Sajaaye rakhtay hain chehray pay jo hansi ki kiran
Na janay, rooh main kitnay shagaaf rakhtay hain



Tuesday 22 April 2014

Sappnon ki dunia main khoye chalay gaye

Sappnon ki dunia main khoye chalay gaye
Hosh main thay phir bhi madhosh hotay chalay gaye
Janay kia baat thi us ajnabi chehray main
Na chahatay huwat bhi usi kay hotay chalay gaye 



Monday 21 April 2014

Jo us kay chehray pay Rang-e-Haya thahar jaye

Jo us kay chehray pay Rang-e-Haya thahar jaye
To saans, wakt, samandar, hawa thahar jaye
Wo muskuraye to hans hans parain kai mossam
Wo gungunaye to Baad-e-Sabba thahar jaye



Tuesday 25 March 2014

Hazaar Chehron main uski mushahbatain mili mujhko

Hazaar Chehron main uski mushahbatain mili mujhko
Par dill ki zidd thi agar wo nahin to us jaisa bhi nahi


Hanstay huway chehron ko ghamon say azaad na samjho

Hanstay huway chehron ko ghamon say azaad na samjho
Hazaron gham chupay hotay hain halki si muskan main



Monday 10 March 2014

Akks to mujood tha par akks tanhai ka tha

Akks to mujood tha par akks tanhai ka tha
Aayina to tha magar us main tera chehra na tha



Rang kia kia humaray chehray par

Rang kia kia humaray chehray par
Ek tumhari hansi say loat aye 



Kis qadar Masoom sa chehra tha us ka ghalib

Kis qadar Masoom sa chehra tha us ka ghalib
Dheeray say jaan kah kar bay jaan kar diyaa



Wo piyari si hansi teray chehray ki

Wo piyari si hansi teray chehray ki
Wo kajal say saji ankhain teri
Wo dill kashi zulfain teri
Wo khil khilata huwa chehra tera
Wo madhosh kar denay wala ahsaas tera
Mujhko mujhi say chura lay gaya



Wednesday 5 March 2014

Sar-e-Rah mila jo wo chaand sa chehra mujhay

Sar-e-Rah mila jo wo chaand sa chehra mujhay
Ye bhi na kah saka tujhay dhondhta raha hoon



Saturday 1 March 2014

Aye KHUDA us kay aik aik lamhay ki hifazzat karna

Aye KHUDA us kay aik aik lamhay ki hifazzat karna
Masoom sa chehra hay udaas ho to acha nahi lagta