Showing posts with label Qayamat Poetry. Show all posts
Showing posts with label Qayamat Poetry. Show all posts

Friday 9 June 2017

Us nay saja k chehray par

Us nay saja k chehray par itne hazar rang
Qoos-e-qazza ko daal diya ha azaab main


Tera pahlo tere dil ki trah

Tera pahlo tere dil ki trah abaad rehay
Tujh pay guzray na qayyamat shab-e-tanhai ki..


Friday 1 August 2014

Friday 4 July 2014

Chor kay ja rehe ho

Chor kay ja rehe ho or kahtay ho qayammat ko milain gain
Goyya ess din kay baad qayammat koi our bhi hay


Friday 27 June 2014

Qayammat hay tera yun ban sanwar kay

Qayammat hay tera yun ban sanwar kay saamnay ana
Hamaray dill ko choro aayinay pay kia guzarti hogi



Wednesday 18 June 2014

Tuesday 10 June 2014

Un ki palkon say hoi hay shuro ye daastan-e-mohabbat

Un ki palkon say hoi hay shuro ye daastan-e-mohabbat
Jin ka jhukna bhi qayammat, our uthna bhi qayammat


Sunday 1 June 2014

Ye bhi acha huwa shaid,

Ye bhi acha huwa shaid, kay usay paa na sakay hum
Hamara ho kay agar bicharrta to qayamat hoti




Friday 9 May 2014

Ghazzab aya, sittam toota

Ghazzab aya, sittam toota, qayammat ho gai barpaa
Faqqat itna hi pocha tha kay tum ko piyaar hay hum say


Tuesday 22 April 2014

Mohabbat ye nahi kay tum tarppo

Mohabbat ye nahi kay tum tarppo usay khabar bhi na ho
Mohabbat ye hay tumhra dil dharkay to us kay dil pay qayamat guzray


Sunday 20 April 2014

Zabt lazzim hay magar dukh hay to qayamat ka faraz

Zabt lazzim hay magar dukh hay to qayamat ka faraz
Zalim ab kay bhi na roye ga to mar jaye ga



Saturday 22 March 2014