Showing posts with label Chahat Poetry. Show all posts
Showing posts with label Chahat Poetry. Show all posts

Friday 20 January 2017

Jis say muhabbat kartay ho

Jis say muhabbat kartay ho agar us say milna chahtay ho to
Mehhram ban kay milo ta k "Rab" bhi razi ho or "Dil" bhi razi ho..


Thursday 6 October 2016

Bay waqqt, bay wajjah

Bay waqqt, bay wajjah, bay rukhi si teri
Phir bhi tujhay bay pannah chahnay ki bebasi meri..


Tuesday 7 July 2015

Monday 22 June 2015

Tujhay piyar karte karte

Tujhay piyar karte karte yunhi umar beet jaye
Karon jo main bewafai mujhay mout bhi na aaye
Jo aitbaar ho to tum say yahi kahain gain
Tere dil main ghar bana kar teri bahon main rahe gain
Tumhe is kaddar main chahu jitna koi na chahay
Tumse shuro hoi hain mere piyar ki kahani
Tum pay nisaar kar don main apni Zindgani
Mera humsafar banay gain teri chahaton k Saaye
Tujhe piyar karte yarte yuhi umar beet jaye
Karu jo main bewafai mujhe mout bhi na aaye



Friday 23 January 2015

Thursday 2 October 2014

Ehsaas-e-Muhabbat k liye

Ehsaas-e-Muhabbat k liye hum itna hi kahtay hain
Teray bhagair bhi hum teray hi rahtay hain


Us ki chahat kay do lamhay

Us ki chahat kay do lamhay jaan lewa thay
Pehla mohabbat ka iqrar dusra mohabbat say inkar


Sunday 28 September 2014

Tum say kab hum nay mulaqat ka waada chaha

Tum say kab hum nay mulaqat ka waada chaha
Door rah kar tujhay kuch aur bhi ziada chaha
Yaad ayi hay teri aur bhi shiddat say humain
Bhool jaanay ka tujhay jab bhi iraada chaha


Thursday 25 September 2014

Koi pal ho tere sath ka

Koi pal ho tere sath ka, meri umer bhar ko samait lay
Mainf fanna baqa k sabhi safar usi ek pal main guzar don



Friday 22 August 2014

Kuch baat hay us ki fittrat main

Kuch baat hay us ki fittrat main
Warna usay chahnay ki khata hum bar bar na kartay


Friday 15 August 2014

Tuesday 8 July 2014

Saturday 28 June 2014

Chahatay dono bhohat hain

Chahatay dono bhohat hain aik dosray ko magar
Ye Haqiqqat manta wo bhi nahi, main bhi nahi



Sunday 15 June 2014

Ek chand tanha khara raha

Ek chand tanha khara raha
Meray asmaan say zara paray
Meray sath sath safar main tha
Meri manzilon say zara paray
Teri jusstuju kay hisaar say
Teray khawab teray khayal say
Mein Wo shaks tha jo khara raha
Teri chahaton say zara paray



Friday 6 June 2014

Jab tujhay meri chaah thi janaan

Jab tujhay meri chaah thi janaan
Bas wohi wakt tha karra mera


Thursday 5 June 2014

Kon chahay ga itni shiddat say tujhay

Kon chahay ga itni shiddat say tujhay
Ye main hon jo sirf tujhay chahti hon



Wednesday 4 June 2014

Pas aoo, ek eltijaa sun lo

Pas aoo, ek eltijaa sun lo
Piyaar hay tum say bay panah sun lo
Aik tum ko KHUDA say manga hay
Jab bhi mangi koi dua sun lo
Ibtidda ishq ki hoi tum say
Tum ho chahat ki inteha sun lo
Bin tere jee nahi sakunga main
Laut aao, meri sadaa sun lo
Daikh lo zindagi adhuri hay
Na raho our ab judaa sun lo
Tum ho sirf tum ho zindagi meri
Such hay such hay bakhuda sun lo
"WASI" koi nahi mera apna
Tum raho gay meray sadda sun lo


Saturday 31 May 2014

Wednesday 28 May 2014

Lamhon main qaid kar day

Lamhon main qaid kar day jo saddioun ki chahatain
Hasrat rahi kay apna bhi koi aisa bhi talab gar ho


Monday 19 May 2014

Jaanay kis mossam main yeh baat ho gayi

Jaanay kis mossam main yeh baat ho gayi
Nazrain mili tum say phoolon ki barsaat ho gayi
Dharkan toh jaisay sargam ki taal ho gayi
Sappnon ki dharti khushiuon ka sansaar ho gayi
Chahat ki moujon main zindagi sawar ho gayi
Aaye piyaar main tofaan koi nazar teri patwaar ho gayi
Chana nan baaji payaliya yeh ras ki phuhaar ho gayi
Mathay ki bindiya sajan ka shringaar ho gayi