Showing posts with label Baychain Poetry. Show all posts
Showing posts with label Baychain Poetry. Show all posts

Friday 9 June 2017

Ajeeb shakhs hay

Ajeeb shakhs hay mujh say guraiz paa bhi hay
Nazar na aaon tu..phir mujh ko dhondhta bhi hay


Sunday 12 March 2017

Kuch or bhi jazzbon ko

Kuch or bhi jazzbon ko baytaab kia us nay 
Jab mahndi lagay hathon say adaab kia us nay



Thursday 20 November 2014

Koi to hay meray andar

Koi to hay meray andar mujhay sambhalay huway
Beqaraar sa reh kar bhi barrqarar hun main 


Saturday 31 May 2014

Ajnabi rahna par kissi ka intizzar mat karna

Ajnabi rahna par kissi ka intizzar mat karna
Kisi kay piyar kay liye khud ko bayqaraar mat krna
Acha sathi mil jaye to hath thaam lena
Par deikhaway kay liye kisi say piyaar mat karna


Sunday 25 May 2014

Taaron ka go shumaar main ana mahal hay

Taaron ka go shumaar main ana mahal hay
Lakin kisi ko neend na aye to kia karay?


Wohi sochain wohi batain wohi andaaz ab bhi hay

Wohi sochain wohi batain wohi andaaz ab bhi hay
Boht baychain lagtay ho koi to raaz ab bhi hay
Main kaisay uski yaadon or waadon say nigah phairon
Wo mujh say dor rehnay wala mera hamraaz ab bhi hay
Ye tum ho jo is taalluq par pareshaan ho
Magar is baylous rishtay pay mujhay to naaz ab bhi hay



Wednesday 14 May 2014

Sunday 6 April 2014

Wednesday 2 April 2014

Ankh purnam

Ankh purnam, ashk zam zam, saa'ns madham, waqt hay kam,
Wasl rahat, hijar matam, raqeeb Qatil, moat marham


Sunday 16 March 2014

Kiun insaan yun khudgarz hota hay

Kiun insaan yun khudgarz hota hay
Bas khud k liye yun sochta hay wo
Auroon k dil ko pairon say kuchal k
Kyun khud ki jeet samajhta hay wo


Sunday 9 March 2014

Munasib samjho tou sirf itna hi bata do

Munasib samjho tou sirf itna hi bata do
Dill baychain hay bhohat kahin tum udaas to nahi