Showing posts with label kash Poetry. Show all posts
Showing posts with label kash Poetry. Show all posts

Friday 20 January 2017

Kash tu ek qaddam

Kash tu ek qaddam meri taraf barha deta
Main apni sabhi manzilain teri dehleez say mila deta...


Thursday 4 September 2014

Sari Zindagi main

Sari Zindagi main 
Ek Pal to aisa ho
Jo sirf Tumhra or mera ho 
Jis main koi Teesra na ho
Hum dair tak 
Ek Dosray say
Batain kartay chalay jain
Or un baton ko
Sunnay wala
Or Koi na ho
Bas Main or Tum hon
Yunhi Beithay Beithay
Kisi choti si bat pay
Hum be-tahasha hans prain
Hansty hanstay ankhon say Anso nikal prain
Un Ansoon ko saf karnay wala
Or koi na ho
Bas main or Tum hon
Kash Sari Zindagi main



Friday 15 August 2014

Friday 1 August 2014

Sunday 22 June 2014

Kaash tum meray hotay

Kaash tum meray hotay
Saans hi tham jati meri lafz agar ye tere hotay




Tuesday 13 May 2014

Us k hath ki kash me wo lakeer ban jaon

Us kay hath ki kash main wo lakeer ban jaon
Kash main uska muqqadar uski taqdeer ban jaon
Main usay itna chahon k wo bhool jaye har rishta
Sirf main hi us k har rishtay ki tasveer ban jaon
Wo aankhain band karay to aaon main hi nazar
Es tarha main us kay har khuawab ki tabeer ban jaon


Sunday 27 April 2014

Kash dill ki awaaz ka itna assar ho jaye

Kash dill ki awaaz ka itna assar ho jaye
Hum inhain yaad krain our inhain khabar ho jaye



Sunday 23 March 2014

Hairaan ho jao gay apni kismat par

Kash kay tum samajh jao meray mohabbat ki intiha ko
Hairaan ho jao gay apni kismat par 


Friday 21 March 2014

Woh pochtay hain hum say kaha rahtay ho aj kal

Woh pochtay hain hum say kaha rahtay ho aj kal
Kash kabhi us nay ek baar apnay dill main deikha hota





Kash main tere haseen hath ka kangan hota

Kash main tere haseen hath ka kangan hota
Tu bare piyaar say bare chao say bade araam kay sath
Apni nazuk si kalai main charhati mujh ko
Aur betabi say furqat kay khizan lamhoon main
Tu kisi soch main dubi jo ghumati mujh ko





Wednesday 19 March 2014

Utra meray dill main koi chand nagar say

Utra meray dill main koi chand nagar say
Aab khauf nahi koi andheron kay Safar say
Woh baat hay tujh main kay koi tujh sa nahi hay
Aye kash koi deikhay tujhay mari nazar say



Wednesday 5 March 2014

Saturday 1 March 2014

Umar sari to bhohat door ki baat thi

Umar sari to bhohat door ki baat thi
Ek lamhay kay liye kash wo mera hota 


Tuesday 28 January 2014

Kash wo subha neend say jagay to mujh say larnay aye

Kash wo subha neend say jagay to mujh say larnay aye 
Kay tum kon hotay ho meray Khuabon main anay walay




Wednesday 15 January 2014

Thursday 9 January 2014

Roth janay ki Adda hum ko bhi ati hay

Roth janay ki Adda hum ko bhi ati hay
Kash hota koi hum ko bhi mananay wala


Tuesday 7 January 2014

Thursday 26 December 2013

Kash kay wo laot aye mujh say ye kahnay

Kash kay wo laot aye mujh say ye kahnay
Tum kon hotay ho mujh say bicharnay walay