Showing posts with label Anmol Poetry. Show all posts
Showing posts with label Anmol Poetry. Show all posts

Friday 15 August 2014

Wohi kajal surmay wali ankh

Wohi kajal surmay wali ankh
Wohi gehri kali kali ankh
Janay kiun sehra lagti hay
Wo dard bhari matwali ankh
Surmay main gazzab ki shoukhi thi
Kajal ki dhaar anoukhi thi
Allah! kitna tarsaati thi
Wo har dam jhuknay wali ankh
Us shakhs pay jab wo marti thi
Kehnay say phir kiun darti thi



Saturday 9 August 2014

Teri ankhon ka ye kajal bara anmol lagta hay

Teri ankhon ka ye kajal bara anmol lagta hay
Teri zulfon ka ye badal bara anmol lagta hay
Bara masoom sa hay ye tere chehray ka bhola pann
Tera wo shok chanchal dil bara anmol lagta hay


Tuesday 3 June 2014

Main to na tha us ka talabgaar

Main to na tha us ka talabgaar kbhi bhi
Kashish hi us main aisi thi k zidd ban gai wo meri



Friday 4 April 2014

Besabab mujh say khafa honay ki aadat hay

Tumhay jo besabab mujh say khafa honay ki aadat hay
Ye aagaz e judai hay ya Andaz e muhabbat hay
Wafa k rung main dekho jafa achi nahi hoti
Kisi say dosti mai itni anaa achi nahi hoti
Faqat kehnay ki baatain hain nibhata kon hay kisko
Chalo ab dekh letay hain manata kon hay kisko


Friday 14 March 2014

Hazaron aib hain mujh main

Hazaron aib hain mujh main, mujhay maloom hay ye
Magar ek shakhs hay nadaan, mujhay Anmool kehta hay


Monday 24 February 2014

Main ek Anso hi sahi, hon bhohat Anmol magar

Main ek Anso hi sahi, hon bhohat Anmol magar
Yun na palkon say gira kar mujhay matti main mila



Wednesday 19 February 2014

Itnay anmool thay kay khareed na saka koi hum ko

Itnay anmool thay kay khareed na saka koi hum ko
Hairaan hon kay teray hathon bika to bika kaisay