Showing posts with label Adda Poetry. Show all posts
Showing posts with label Adda Poetry. Show all posts

Friday 9 June 2017

Chupa k rukh apna

Chupa k rukh apna parday main us zalim nay
Tajjassuss ko mereay or barha diya hay..



Pocha jo un say

Pocha jo unn say chaand nikalta ha kis tarah
Zulfon ko rukh pay dal k jhatka diya k yunn..


Tuesday 7 July 2015

Nakaam thi meri sab koshishain

Nakaam thi meri sab koshishain us ko mananay ki
Pata nahi kahan se sekhi hy zalim nay adayain roth janay ki


Thursday 20 November 2014

Monday 23 June 2014

Monday 9 June 2014

Friday 6 June 2014

Mohabbat Say enayat say

Mohabbat Say enayat say Wafa say chot lagti hay
Bikharta phool hon mujh ko hawa say chot lagti hay
Main shabnum ki zubaan say phool ki awaaz sunta hon
Ajab ahsaas hay apni sadda say chot lagti hay
Tujhay khud apni majbori ka andaza nahi shayad
Na kar ahad-e-Wafa, ahad-e-Wafa say chot lagti hay
Meri ankhon main anso ki tarha ek baar a jao
Takalluf say banawwat say adda say chot lagti hay



Friday 30 May 2014

May nay izhaar to kiya hi nahi

May nay izhaar to kiya hi nahi
Us nay ankhon ko parh liya hoga



Tu deikh ya na deikh

Tu deikh ya na deikh, teray deikhnay ka gham nahi
Par teri ye na deikhnay ki adda deikhnay say kam nahi


Saturday 17 May 2014

Kitni saji hay baywafai teray masoom chehray par

Kitni saji hay baywafai teray masoom chehray par
Hum bhi pagal thay kay es adda pay mar gaye


Friday 2 May 2014

Koi chehray ka deewana hay

Koi chehray ka deewana hay, koi ekhlaaq ka taalib
Addain picha karwati hain, mohabbat kon karta hay



Wednesday 23 April 2014

Wo mera ho jo ankhon main haya rakhta ho

Wo mera ho jo ankhon main haya rakhta ho
Umar bhar ka sath chalnay ka Azam-e-Waffa rakhta ho
Naaz us kay na uthaaon to shikayat na kray
Gham sah kar bhi hansnay ki adda rakhta ho


Ajeeb si adda or ghazab ki fitrrat hay apni

Ajeeb si adda or ghazab ki fitrrat hay apni
Mohabbat ho ya nafrat bhohat shiddat say kartay hain



Monday 21 April 2014

Haya say sar jhuka lena

Haya say sar jhuka lena, adda say muskura dena
Haseenon ko bhi kitna sahal hay bijli gira dena


Sunday 6 April 2014

Teri har ada mohabbat c lagti hay

Teri har ada mohabbat c lagti hay
Ek pal ki judai sadiyo'n c lagti hay
Pehlay nhi socha tha pr ab sochnay laga hoon
Zindagi k har lamhay main teri zarurat c lagti hay


Wednesday 2 April 2014

Mere jee main aye, galay say laga loon

Mere jee main aye, galay say laga loon
Adaa rooth janay ki tum say chura loon


Tuesday 25 March 2014

Kuch es Adda say sunana hal-e-dill hamara usay

Kuch es Adda say sunana hal-e-dill hamara usay
Wo khud hi kah day kisi ko bhool jana buri baat hay



Wednesday 19 March 2014

Ye Sharam haya khoob jachtti hay tum par

Ye Sharam haya khoob jachtti hay tum par
Har Adda pay humay piyaar ata hay



Sunday 16 March 2014

Monday 10 March 2014

Wo hata rahain hain parda

Wo hata rahain hain parda
Sar-e- Aam chupkay chupkay
Koi qatal ho raha hay
Dar-e- Baam chupkay chupkay
Ye jhuki jhuki nighahain
Ye haseen haseen ishaaray
Kahin lay na jain shayad
Meri jaan chupkay chupkay
Kabhi shokiyaan dikhana
Kabhi un ka muskurana
Ye adaain kar na dalain
Mera kaam chupkay chupkay
Ye jo hichkiyaan musalsal
Mjhay aa rahi hain yaroo
Koi lay raha hay shayad
Mera naam chupkay chupkay