Showing posts with label Rait Poetry. Show all posts
Showing posts with label Rait Poetry. Show all posts

Friday 20 June 2014

Rait par baith kar bahtay huway ashkon say

Rait par baith kar bahtay huway ashkon say
Tum bhi likho gay mera naam magar meray baad


Saturday 14 June 2014

Suna hay rait par chal kar tum aksar muskuratay ho

Suna hay rait par chal kar tum aksar muskuratay ho
Kaho to ab ki baar main zameen ki dhool ban jaon


Saturday 24 May 2014

Band mutthi say girti rait ki mannind

Band mutthi say girti rait ki mannind
Wo Chala gaya zindagi say zara zara kar kay


Tuesday 20 May 2014

Ab kia likhain hum kagaaz par

Ab kia likhain hum kagaaz par
Ab likhnay ko kia baqi hay
Ek dill tha Wo bhi toot gaya
Ab Tootnay ko kiya baqi hay
Ek shakhs ko hum nay chaha tha
Ek rait pay naqsh banaya tha
Wo rait to kab ki bikhar gayi
Wo naqsh kahan ab baqi hay
Hum jinko apni nazmon ka
Unwan banaya kartay Thay
Lafzon ka bana kay taj mehal
Kaghaz pay sajaya kartay thay
Wo hum ko akela chor gaya
Sab rishton say mon mor gaya
Ab raastay saray ....


Tuesday 25 March 2014

Deewanon ko phir us say hay Omeed Wafa ki

Deewanon ko phir us say hay Omeed Wafa ki
Deewanon nay phir rait pay tahreer likhi hay



Sunday 16 February 2014

Bandh muthi say wo rait ki maninnd

Bandh muthi say wo rait ki maninnd
Zindagi say gaya wo zarra zarra kar kay