Showing posts with label Khuab Poetry. Show all posts
Showing posts with label Khuab Poetry. Show all posts

Monday 3 October 2016

Neendon ko tarasty hain

Neendon ko tarastay hain khuwabon kay tamannai
Ek khuwaab ki ankhon nay kia khoob sazza paai...


Sunday 6 July 2014

Main hon tujh ko jaan say azeez

Main hon tujh ko jaan say azeez, main ye kaisay maan lon
Teri Batain lagti hain waham si, tere lafz lagtay hain khuab say


Me tujh ko jaagti ankhon say

Me tujh ko jaagti ankhon say cho sakon na kabhi
Meri anna ka bharam rakh lay meray khuab may aa


Wednesday 18 June 2014

Sunday 15 June 2014

Shaam hotay hi yeh dill udaas hota hay

Shaam hotay hi yeh dill udaas hota hay
Tutay khuwabon kay siwa kuch na pas hota hay
Teri yaad aisay main bhohat ati hay
Chaand jab apnay sitaron kay paas hota hay


Ek chand tanha khara raha

Ek chand tanha khara raha
Meray asmaan say zara paray
Meray sath sath safar main tha
Meri manzilon say zara paray
Teri jusstuju kay hisaar say
Teray khawab teray khayal say
Mein Wo shaks tha jo khara raha
Teri chahaton say zara paray



Sunday 8 June 2014

Kuch haar gai taqdeer

Kuch haar gai taqdeer, kuch toot gaye sapnay
Kuch ghairon nay kia barbaad, kuch chor gaye apnay



Wednesday 28 May 2014

Bas shukriya kahna tha es nazar-e-karam ka piyaray

Bas shukriya kahna tha es nazar-e-karam ka piyaray
Khuab main milay ho our kia khoob milay ho



Monday 19 May 2014

Jaanay kis mossam main yeh baat ho gayi

Jaanay kis mossam main yeh baat ho gayi
Nazrain mili tum say phoolon ki barsaat ho gayi
Dharkan toh jaisay sargam ki taal ho gayi
Sappnon ki dharti khushiuon ka sansaar ho gayi
Chahat ki moujon main zindagi sawar ho gayi
Aaye piyaar main tofaan koi nazar teri patwaar ho gayi
Chana nan baaji payaliya yeh ras ki phuhaar ho gayi
Mathay ki bindiya sajan ka shringaar ho gayi


Wednesday 14 May 2014

Bari talab hay teray deedar ki baychain nighahon ko

Bari talab hay teray deedar ki baychain nighahon ko
Kisi sham chalay aao en ankhon main raat ka khuab ban kar


Tuesday 13 May 2014

Us k hath ki kash me wo lakeer ban jaon

Us kay hath ki kash main wo lakeer ban jaon
Kash main uska muqqadar uski taqdeer ban jaon
Main usay itna chahon k wo bhool jaye har rishta
Sirf main hi us k har rishtay ki tasveer ban jaon
Wo aankhain band karay to aaon main hi nazar
Es tarha main us kay har khuawab ki tabeer ban jaon


Wednesday 23 April 2014

Meri zindagi tera sath ho

Meri zindagi tera sath ho
Meri zindagi teri baat ho
Jo jhukay nazar tera khuab ho
Jo uthay nazar teri zaat ho
Meray hath main aik phool ho
Our wo phool tera hath ho


Friday 4 April 2014

Wednesday 2 April 2014

Jis simtt bhi deikhon nazar ata hay kay tum ho

Jis simtt bhi deikhon nazar ata hay kay tum ho
Aye jan-e-jahan ye koi tum sa hay kay tum ho
Ye khuab hay khushbo hay kay jhonka hay kay pall hay
Ye dhundh hay baddal hay kay saya hay kay tum ho



Thursday 27 March 2014

Meri band ankhoin ka sacha khwuab ho tum

Meri band ankhoin ka sacha khwuab ho tum
Meri tanhaiyon Kay sawalon ka jawab ho tum
Ab to duniya bhi roth jaye to gum na hoga
Meri duniya, kayinaat mera Chaand ho tum


Hum na kahtay thay wakt zaalim hay

Hum na kahtay thay wakt zaalim hay
Deikh lo khuab ho gaye tum bhi 



Saturday 22 March 2014

Qayammat khaiz ankhain tumhari

Qayammat khaiz ankhain tumhari
Tum akhir khuab kis kay deikhtay ho



Main jab bhi chahon, usay choo kay deikh sakti hon

Main jab bhi chahon, usay choo kay deikh sakti hon
Magar wo shakhs kay lagta hay ab bhi khuab aisa



Friday 21 March 2014

Taiz hawwa or hath main uska hath tha

Taiz hawwa or hath main uska hath tha
Kuch hi qaddam hum sath chalay thay ankh khuli to khuwab tha