Yaad Poetry

Rukta bhi nahi, teekh say chalta bhi nahi
Yai dil hay k teray baad sambhalta bhi nahi
Es umar ki sahra say teri yaad ka badal
Talta bhi nahi or barasta bhi nahi...



---------




Sun li jo Khuda nay wo dua tum to nahi ho
Darwazay pay dastak ki sada tum to nahi ho
Simtti hoi sharmai hoi rat ki rani
Soi hoi kaliyon ki haya tum to nahi ho
Mehsoos kiya tum ko to geeli hoin palkian
Bheegey hoye mosam ki adda tum to nahi ho
In ajnabi raahon may nahi koi bhi mera
Kis nay mujhay yun apna kaha tum to nahi ho...


-------------

Tum bhoolna chaho gay tu yaad aonga main
Aankhon mein ashk chupaogay tu yaad aaonga main
Mein hi chun laita tha palkoon say tumhare ansoon
Tum kabhi ashk bahao gay tu yaad aoonga main...


----------------

Teri hi yaadon main, main apna naam bhool jata hon
Milna tha kis ko, sabhi main kaam bhool jata hon
Barri mushkil si hoti hay wapis hosh main anay ko
Kab sona kab jagna, subah say shaam bhool jata hon...


--------------------

Dheeray say sarakkti hay raat us kay anchal ki tarah
Uska chehra nazar aata hay jheel main kanwal ki tarah...


----------------

Tum mano ya na mano 
Aj bhohat kami si hay tum bin
Na rang na roshni hay tum bin
Wakt apni raftaar say chal raha hay
Bas dharkan thami si hay tum bin
Na barish hay na dhuwaan
Phir bhi dill main tapish si hay tum bin
Bhohat roka ha badal ko barasnay say
Phir bhi ankhon may nami si hay tum bin
Tum mano ya na mano
Aj bhohat kami si ha tum bin...


---------------




Khud ko khud say humkalam kar kay deikhna
Kitna mushkil hay ye kaam kar kay deikhna
Kis qaddar udaas guzarti hain meri shamain
Yaad kisi ko kisi shaam kar k deikhna


------------

Khushioun ki shaam or yaadon ka ye sammaa
Apni palkon pay hargiz sitaray na lain gain
Rakhna sanbhal kar chandd khushiaan meray liye
May loat aaoun ga to Eid manain gain


------------

Teri yaad ki wo nishaniaan hain ja baja beikhri hoin
Unhnay rook lon unhnay thaam lon teri zaat phir say samait lon 
Kia yahi mera ab naseeb hay, jo ha ajnabi wo qareeb hay
Manga jisay wo mila nahi , rahi piyar ki yahi reet hay...


----------

Kon poochta hay pinjray main band panchion ko “Mohsin”
Yaad wohi atay hain jo urr jatay hain...


--------------

Ae waqt zara to tham ja
Mujhe yaad kisi ko kernay day
Mujhe piyar hay ek sangdil say
Jo koi baat mujhay na karnay day
Na apny paas wo anay day
Na khud say door wo janay day
Na dill ko apnay pas rakhay
Na aur kisi ka honay day
Har waqt mujhe wo yaad aaye
Phir dill say ek aawaz aaye
Ye kaisi chahat hay us ki
Jo jeenay day na marnay day


-------------











No comments: